Tags-Mehnat

adab hī zindagī meñ jab na aayā
adab meñ itnī mehnat kis liye hai
Sher
adab hi zindagi mein jab na aaya
ḳhvāb hai aur unheñ paane kī azmat bhī hai
ilm hai zabt hai aur jazba-e-mehnat bhī hai
Qita
KHwab hai aur unhen pane ki azmat bhi hai
haiyyā haiyyā chāle nayyā haiyyā haiyyā
mehnat se kyā sharmānā hai sāthī re
Nazm
haiyya haiyya
ajiib lagtī hai mehnat-kashoñ kī bad-halī
yahāñ talak to muqaddar ko haar jaanā thā
Ghazal
tamam KHushk dayaron ko aab deta tha
nāz-bardārī kī ujrat koī Thahrātā nahīñ
dene vaale de diyā karte haiñ mehnat dekh kar
Ghazal
dekhta rahta hun aksar sham-e-qudrat dekh kar
mehnat kī saḳht dhuup meñ pīpal kī chhāñv meñ
hai dasht-e-ġham meñ abr-e-karam kī phuvār bhī
Ghazal
aati hai zindagi mein KHizan bhi bahaar bhi
mehnat kī jab ḳhushbū Tapke parchhā.īñ muskātī hai
thak kar un kī bāñhoñ meñ tab añgḌā.ī muskātī hai
Ghazal
mehnat ki jab KHushbu Tapke parchhain muskati hai
DhūñDh kar dil meñ nikālā tujh ko yaar
tū ne ab mehnat mirī be-kār kī
Sher
DhunDh kar dil mein nikala tujhko yar
chaman meñ koī us kū se na aayā
ga.ī barbād sab mehnat sabā kī
Ghazal
agar ghaflat se baz aaya jafa ki
mehnat-o-dard-o-ranj-o-ġham aur alam ye raat din
karte haiñ mujh ko ḳhvār-o-zār ek do tiin chaar pāñch
Ghazal
mehnat-o-dard-o-ranj-o-gham aur alam ye raat din
har kaam yuuñ karo ki hunar bolne lage
mehnat dikhe sabhī ko asar bolne lage
Ghazal
har kaam yun karo ki hunar bolne lage
mehnat ke dam pe kyā nahīñ kar saktā aadmī
apne lahū kā āḳhirī qatra nichoḌ tū
Ghazal
KHud ko na ai bashar kabhi qismat pe chhoD tu
rone vaale rā.egāñ kī ret par mehnat na kar
narm rut kā phuul hai dil aag meñ khiltā nahīñ
Ghazal
main shajar hun apne sae ka sila leta nahin
gar paḌe haath se kāġhaz 'bāqī'
apnī mehnat kā samar yaad aayā
Ghazal
rang-e-dil rang-e-nazar yaad aaya
qismat kā hai zavāl ki mehnat kī hai kamī
ham ne kiyā jo kaam bhī nuqsān rah gayā
Ghazal
KHanon mein KHud hi baT ke ab insan rah gaya
abas mehnat hai kuchh hāsil nahīñ patthar-tarāshī se
yahī mazmūn thā farhād ke teshe kī khaT-khaT kā
Sher
abas mehnat hai kuchh hasil nahin patthar-tarashi se
apnī nas nas meñ liye mehnat-e-paiham kī thakan
band āñkhoñ meñ usī qasr kī tasvīr liye
Nazm
makan
ab tak mire a.asāb pe mehnat hai musallat
ab tak mire kānoñ meñ mashīnoñ kī sadā hai
Sher
ab tak mere aasab pe mehnat hai musallat
log mehnat ke beach bo.eñge
jab bhī fursat milī duāoñ se
Ghazal
baadban ko gila hawaon se
aur hoñge jinheñ rahtā hai muqaddar se gilā
aur hoñge jinheñ miltā nahīñ mehnat kā silā
Nazm
dard-e-dil

Top Urdushayar.com