Tags-Mohabbat

'faiz' yuuñ rakhtā huuñ maiñ us kī mohabbat kā bharam
us ke hisse ke bhī ilzām pahan letā huuñ
Ghazal
din utarte hi nai sham pahan leta hun
hai qā.eda kullī ye kū-e-mohabbat meñ
dil ġham jo huā hogā paidā na huā hogā
Ghazal
ai dost koi mujh sa ruswa na hua hoga
pā-laġhz-e-mohabbat se mushkil hai sambhal jaanā
us ruḳh kī safā.ī par is dil kā bahal jaanā
Ghazal
jun nikhat-e-gul jumbish hai ji ka nikal jaana
dam lene kī tāqat hai bīmār-e-mohabbat hai
itnā bhī ġhanīmat hai 'momin' kā sambhal jaanā
Ghazal
jun nikhat-e-gul jumbish hai ji ka nikal jaana
itnī jaldī mazdūr aurat āḳhir ye gale meñ bāñheñ kyuuñ
le der huī ab bhaag bhī jā bas itnī mohabbat kaafī hai
Nazm
drawing-room
na sharh-e-shauq na taskīn jān-e-zār meñ hai
mazā jo apnī mohabbat ke e'tibār meñ hai
Ghazal
na sharh-e-shauq na taskin jaan-e-zar mein hai
ġhālib aa.ī havas mohabbat par
ārzūoñ kā rañg kaalā hai
Ghazal
ek yahi ab mera hawala hai
yahī tahsīl-e-mohabbat kā hai aalam tā-hāl
puḳhta karte haiñ hanūz ārzū-e-ḳhām ko ham
Ghazal
aaina-KHana karenge dil-e-nakaam ko hum
ye mohabbat kī hai qīmat ye mohabbat kā sila
ki hamāre hī liye ishq kā dastūr nahīñ
Ghazal
chashm-e-bina ho to qaid-e-haram-o-tur nahin
har dard-e-mohabbat se uljhā hai ġham-e-hastī
kyā kyā hameñ yaad aayā jab bhī tirī aa.ī
Ghazal
sau bar chaman mahka sau bar bahaar aai
dekhe haiñ bahut ham ne hañgāme mohabbat ke
āġhāz bhī rusvā.ī anjām bhī rusvā.ī
Ghazal
sau bar chaman mahka sau bar bahaar aai
ye bazm-e-mohabbat hai is bazm-e-mohabbat meñ
dīvāne bhī shaidā.ī farzāne bhī shaidā.ī
Ghazal
sau bar chaman mahka sau bar bahaar aai
mohabbat kā un ko yaqīñ aa chalā hai
haqīqat bane jā rahe haiñ fasāne
Sher
mohabbat ka un ko yaqin aa chala hai
rone lagtā huuñ mohabbat meñ to kahtā hai koī
kyā tire ashkoñ se ye jañgal harā ho jā.egā
Ghazal
mil hi aate hain use aisa bhi kya ho jaega
ab harīf sab us ke talḳh roz o shab us ke
kāñpte haiñ lab us ke us ne kyuuñ mohabbat kī
Ghazal
asl mein hun main mujrim maine kyun shikayat ki
na raas aayā mohabbat kā ye ḳhumār mujhe
maiñ be-qarār huuñ pal bhar nahīñ qarār mujhe
Ghazal
na ras aaya mohabbat ka ye KHumar mujhe
dilā rahā hai mohabbat kā phir yaqīñ mujh ko
chalā gayā jo mohabbat meñ kar ke ḳhaar mujhe
Ghazal
na ras aaya mohabbat ka ye KHumar mujhe
na kar sakūñgī maiñ 'ḳhanda' ab e'tibār us kā
pata hai kiyā hai mohabbat kā kārobār mujhe
Ghazal
na ras aaya mohabbat ka ye KHumar mujhe
kis ko har shai se mohabbat hai bhalā
kis ko ā.īna banāyā jaa.e
Ghazal
pahle ye jism jalaya jae
mohabbat ko hamārī ik zamāna ho gayā lekin
na tum samjhe ki kyā maiñ huuñ na maiñ samjhā ki kyā tum ho
Ghazal
mere mahbub tum ho yar tum ho dil-ruba tum ho

Top Urdushayar.com