Tags-Mohabbat

hai mohabbat hayāt kī lazzat
varna kuchh lazzat-e-hayāt nahīñ
Qita
hai mohabbat hayat ki lazzat
ab mohabbat kā sabab hai vahshat
varna hasrat to miTā dī ga.ī hai
Ghazal
dil se ek yaad bhula di gai hai
zindagī kuchh bhī nahīñ soz-e-mohabbat ke baġhair
aag us dil ko lage jo nahīñ ḳhvāhāñ terā
Ghazal
banda-e-mohr-ba-lab hun main sana-KHwan tera
ai dost mohabbat ke sadme tanhā hī uThāne paḌte haiñ
rahbar to faqat is raste meñ do gaam sahārā dete haiñ
Sher
ai dost mohabbat ke sadme tanha hi uThane paDte hain
ye kār-e-mohabbat bhī kyā kār-e-mohabbat hai
ik harf-e-tamannā hai aur us kī pazīrā.ī
Sher
ye kar-e-mohabbat bhi kya kar-e-mohabbat hai
dastūr-e-mohabbat hī nahīñ jaañ se guzarnā
kar lete haiñ ye kaam kabhī ahl-e-havas bhī
Ghazal
lai na saba bu-e-chaman ab ke baras bhi
'anīs' āsāñ nahīñ ābād karnā ghar mohabbat kā
ye un kā kaam hai jo zindagī barbād karte haiñ
Sher
anis aasan nahin aabaad karna ghar mohabbat ka
ye junūñ hai ki mohabbat kī alāmat koī
terī sūrat mujhe har shai meñ nazar aatī hai
Ghazal
unki derina mulaqat jo yaad aati hai
shahr-vāloñ kī mohabbat kā maiñ qaa.el huuñ magar
maiñ ne jis haath ko chūmā vahī ḳhanjar niklā
Ghazal
main to maqtal mein bhi qismat ka sikandar nikla
maiñ ki sahrā-e-mohabbat kā musāfir thā 'farāz'
ek jhoñkā thā ki ḳhushbū ke safar par niklā
Ghazal
main to maqtal mein bhi qismat ka sikandar nikla
tumheñ ham chāhte to haiñ magar kyā
mohabbat kyā mohabbat kā asar kyā
Ghazal
tumhein hum chahte to hain magar kya
kisī kī zindagī zaa.e.a na hogī ab mohabbat meñ
koī dhokā na degā ab koī dhokā na khā.egā
Ghazal
bashaarat ho ki ab mujh sa koi pagal na aaega
mohabbat bhī kahīñ ai dost! tardīdoñ se chhuptī hai
kise qaa.el karegā tū kise bāvar karā.egā
Ghazal
bashaarat ho ki ab mujh sa koi pagal na aaega
bujh chuke haiñ mire siine meñ mohabbat ke kañval
ab tire husn-e-pashīmāñ se mujhe kyā lenā
Nazm
shikast
vo ki har ahd-e-mohabbat se mukartā jaa.e
dil vo zālim ki usī shaḳhs pe martā jaa.e
Ghazal
wo ki har ahd-e-mohabbat se mukarta jae
mohabbat kā nashsha rahe kyuuñ na har-dam
bharā hai mai-e-ishq se jaam dil kā
Ghazal
na hasil hua sabr-o-aram dil ka
kahāñ mahakte the pahle mire dar-o-dīvār
ye kaam us kī mohabbat kā phuul kartā hai
Ghazal
sitamgaron ki itaat qubul karta hai
yuuñ mohabbat se na de merī mohabbat kā javāb
ye sazā saḳht hai thoḌī sī ri.āyat kar de
Sher
yun mohabbat se na de meri mohabbat ka jawab
mohabbat kā jise saudā huā hai
na jaane kyā se kyā vo ho gayā hai
Ghazal
mohabbat ka jise sauda hua hai
shaiḳh jaanā tujhe mohabbat meñ
dekhtā jā mirī sharāb kā rañg
Ghazal
nahin chhupta tere itab ka rang

Top Urdushayar.com