Tags-Murder

dil ko kiyā jo qatl to us ne bhalā kiyā
mujh ko to apne dil se vo qātil aziiz hai
Ghazal
majnun ko apni laila ka mahmil aziz hai
kis ne kab kis ko kaise qatl kiyā
shakl sab kī chhupā ga.ī miTTī
Ghazal
ek duniya bana gai miTTi
qatl karnā hai na.e ḳhvāb kā so Dartā huuñ
kaañp jaa.eñ na mire haath ye ḳhuuñ karte hue
Sher
qatl karna hai nae KHwab ka so Darta hun
kiyā hai qatl lekin dekhiye jaañ kab nikaltī hai
ki un ko raqs-e-betābāna-e-bismil pasand aayā
Ghazal
zahe qismat agar tumko hamara dil pasand aaya
qatl kī sun ke ḳhabar iid manā.ī maiñ ne
aaj jis se mujhe milnā thā gale mil aayā
Sher
qatl ki sun ke KHabar id manai maine
kis kā sar kis kī ridā kis kā makāñ DhūñDte ho
qatl o ġhārat meñ to koī na bachā kuchh na rahā
Ghazal
yun samajh lo ki ba-juz nam-e-KHuda kuchh na raha
qatl kyā be-gunah kā mushkil hai
chāhiye jab shahīd kar liije
Ghazal
naujawani ki did kar lije
mujh ko jinhoñne qatl kiyā hai koī unheñ batlā.e 'nazīr'
merī laash ke pahlū meñ vo apnā ḳhanjar bhuul ga.e
Ghazal
yaad nahin kya kya dekha tha sare manzar bhul gae
huā hai ishq meñ ḳhāsān-e-haq kā rañg safed
ye qatl-e-ām nahīñ shoḳhi-e-hinā kahiye
Ghazal
suna hai kuch to un ka par isko kya kahiye
siyāh-baḳht-e-azal huuñ kahāñ haiñ aaise nasīb
ki qatl kar ke mujhe aap sruḳh-rū karte
Ghazal
jo shana gesu-e-jaanan mein hum kabhu karte
kartā hai qatl-e-ām vo aġhyār ke liye
das biis roz marte haiñ do-chār ke liye
Ghazal
karta hai qatl-e-am wo aghyar ke liye
qatl us ne jurm-e-sabr-e-jafā par kiyā mujhe
ye hī sazā thī aise gunahgār ke liye
Ghazal
karta hai qatl-e-am wo aghyar ke liye
ye ishtiyāq-e-shahādat meñ mahv thā dam-e-qatl
lage haiñ zaḳhm badan par kahāñ nahīñ ma.alūm
Ghazal
chaman mein rahne de kaun aashiyan nahin malum
kal mire qatl ko is Dhab se vo bāñkā niklā
muñh se jallād-e-falak ke bhī ahāhā niklā
Sher
kal mere qatl ko is Dhab se wo banka nikla
vo ġhairoñ ko adā se qatl jab bebāk karte haiñ
to us kī teġh ko ham aah kis hairat se takte haiñ
Ghazal
phir aai fasl-e-gul phir zaKHm-e-dil rah rah ke pakte hain
ġhamza-e-shoḳh-e-siyah-mast tirā mizhgāñ se
qatl-e-āshiq pe saf-ārā na huā thā so huā
Ghazal
shahid-e-ghaib huwaida na hua tha so hua
agar ho chīñ-jabīñ qātil dam-e-qatl
qayāmat qāmat-e-qātil se badle
Ghazal
jo dilbar ki mohabbat dil se badle
hazāroñ teġh-bandoñ kuuñ kare qatl
ḳham-e-abru kī jab talvār bāñdhe
Ghazal
sanam jab chira-e-zar-tar bandhe
mere surḳh lahū se chamkī kitne hāthoñ meñ mehñdī
shahr meñ jis din qatl huā maiñ iid manā.ī logoñ ne
Sher
mere surKH lahu se chamki kitne hathon mein mehndi

Top Urdushayar.com