Tags-Naaz

sadqe ai tamkanat-e-nāz dikhā de mujh ko
haa.e vo aañkh na ho jis meñ muravvat merī
Ghazal
subh-e-mahshar bhi gawara nahin furqat meri
aa ke Thukrā ga.e kis naaz se turbat merī
na khulī aañkh mirī haa.e rī ġhaflat merī
Ghazal
subh-e-mahshar bhi gawara nahin furqat meri
naaz kyā is pe jo badlā hai zamāne ne tumheñ
mard haiñ vo jo zamāne ko badal dete haiñ
Sher
naz kya is pe jo badla hai zamane ne tumhein
dekhnā mujh ko jo bargashta to sau sau naaz se
jab manā lenā to phir ḳhud ruuTh jaanā yaad hai
Ghazal
chupke chupke raat din aansu bahana yaad hai
ik nigāh-e-nāz par qurbāñ kare hosh-o-ḳhirad
ishq-bāzī ke liye farzāna aisā chāhiye
Ghazal
jis ka rahib shaiKH ho but-KHana aisa chahiye
surāhī kā bharam khultā na merī tishnagī hotī
zarā tum ne nigāh-e-nāz ko taklīf dī hotī
Ghazal
surahi ka bharam khulta na meri tishnagi hoti
tere samand-e-nāz kī bejā sharārteñ
karte haiñ aag nāla-e-andesha-kām ko
Ghazal
ejaz-e-jaan-dahi hai hamare kalam ko
parda nigāh kā hai to kaisī ḳhusūsiyat
apnī nigāh-e-nāz se pardā na kījiye
Ghazal
bimar-e-gham ka koi mudawa na kijiye
kashish mirī yahīñ manzil ko khīñch lā.egī
yahī to naaz hai mujh ko shikasta-pā huuñ maiñ
Ghazal
bina-e-sajda hun sajde ki ibtida hun main
batā ai zindagī tere parastāroñ ne kyā paayā
uThā kar naaz tere nāz-bardāroñ ne kyā paayā
Ghazal
bata ai zindagi tere parastaron ne kya paya
mat tabaḳhtūr se guzar qumrī hamārī ḳhaak par
ham bhī ik sarv-e-ravāñ ke nāz-bardāroñ meñ the
Ghazal
KHub the we din ki hum tere giraftaron mein the
payām-e-dāvat-e-mai nīm-bāz āñkhoñ se
nigāh-e-nāz kī rañgīniyāñ are tauba
Ghazal
bahaar-e-zist ki mahrumiyan are tauba
vo mast-e-nāz husn maiñ sarshār-e-ārzū
vo iḳhtiyār meñ haiñ na maiñ iḳhtiyār meñ
Ghazal
uf kya maza mila sitam-e-rozgar mein
use dekhne kī thī aarzū mujhe us kī thī baḌī justujū
magar us ke āriz-e-nāz pe mirī har nigāh phisal ga.ī
Sher
use dekhne ki thi aarzu mujhe uski thi baDi justuju
naaz bhalā kis baat kā tujh ko pās-e-hunar jab kuchh bhī nahīñ
manzil par pahuñchegā kaise raḳht-e-safar jab kuchh bhī nahīñ
Ghazal
naz bhala kis baat ka tujhko pas-e-hunar jab kuchh bhi nahin
maiñ bhī faanī tū bhī faanī saarā aalam faanī hai
kyā ḳhad-o-ḳhāl pe naaz kareñ duniyā meñ amar jab kuchh nahīñ
Ghazal
naz bhala kis baat ka tujhko pas-e-hunar jab kuchh bhi nahin

Top Urdushayar.com