Tags-Neend

maiñ kise ḳhvāb sunāne ke liye aayā huuñ
shab agar niiñd se bedār nahīñ ho saktī
Ghazal
chand chhune ki talabgar nahin ho sakti
kis kī chashm-e-mast yaad aatī rahī
niiñd āñkhoñ se mirī jaatī rahī
Ghazal
kis ki chashm-e-mast yaad aati rahi
niiñd āñkhoñ meñ magar aatī ga.ī uḌtī ga.ī
dosh-e-nik.hat par payām-e-zulf-e-yār aatā gayā
Ghazal
ahd-e-mayusi jahan tak sazgar aata gaya
phir tirī yaad meñ āñhkeñ huiiñ shabnam shabnam
phir vahī niiñd na aane ke zamāne aa.e
Ghazal
kitne bhule hue naghmat sunane aae
niiñd uchaT jā.egī in matvālī āñkhoñ kī na sun
merī hastī kā fasāna hai bahut uljhā huā
Ghazal
pahle mujhko bhi KHayal-e-yar ka dhoka hua
niind kī vādiyoñ meñ pichhle pahar
ek lai ek naġhma ek alaao
Ghazal
uske lahje ka wo utar chaDhao
un nigāhoñ kī guftugū meñ hai
niind meñ gum havāoñ kā uljhāo
Ghazal
uske lahje ka wo utar chaDhao
tū ḳhvāb thā to mujhe niiñd se jagāyā kyuuñ
tū vahm thā to mire saath saath kyuuñ na chalā
Ghazal
KHafa na ho ki tera husn hi kuchh aisa tha
hameñ to niiñd aa.egī na lekin
ye raat bhī to Thahar ga.ī hai
Ghazal
zamin logon se Dar gai hai
niind ke biin bajāte hī 'ashk'
bistar meñ saañp aa jaatā hai
Ghazal
sawan mein ghabra jata hai
jaañ jaa.e par ummīd na jā.egī kabhī
niiñd aañkh meñ ārām na pā.egī kabhī
Rubaai
jaan jae par ummid na jaegi kabhi
ik niiñd kī vaadī se guzārā gayā mujh ko
phir ḳhvāb kī dahlīz pe maarā gayā mujh ko
Ghazal
ek nind ki wadi se guzara gaya mujhko
aa ga.ī sub.h-e-qayāmat aur maiñ soyā nahīñ
phir na aa.ī niiñd tum jab se sidhāre raat ko
Ghazal
bagh mein jugnu chamakte hain jo pyare raat ko
vo niiñd lagne se pahle mujhe jagātā hai
karūñ maiñ apnī thakan ko bhī rā.egāñ kab tak
Ghazal
khuli rakhunga main kamre ki khiDkiyan kab tak
niiñd is shart pe aa.egī ki
ḳhvāb jhūTā hī sahī aa jaa.e
Ghazal
dard mein mere kami aa jae
mujh ko sone do
sadiyoñ jaisī gahrī lambī niiñd
Nazm
be-KHwabi ki aakas bel par khili KHwahish
jo din chaḌhā to hameñ niiñd kī zarūrat thī
sahar kī aas meñ ham log raat bhar jaage
Ghazal
makan soe hue the abhi ki dar jage
kam se kam itnā asar ho jo sune aa jaa.e niiñd
bekasoñ kī maut kā hoñThoñ par afsāna rahe
Ghazal
mai rahe mina rahe gardish mein paimana rahe

Top Urdushayar.com