Tags-Pani

haare hue logoñ kī kahānī kī tarah haiñ
ham log bhī bahte hue paanī kī tarah haiñ
Sher
haare hue logon ki kahani ki tarah hain
vo daur jhiil ke paanī meñ tairtā hai chāñd
pahāḌiyoñ ke añdheroñ pe nuur chhāne lagā
Qita
wo dur jhil ke pani mein tairta hai chand
ai mirī qaum chalī aa mire pīchhe pīchhe
koī rasta bhī to paanī se nikal saktā hai
Ghazal
jo tere gham ki girani se nikal sakta hai
ye soch kis darja tishnagī se mare the ham log
ki paanī pī nahīñ rahe the paanī bachā rahe the
Ghazal
lahu mein ghul ghul ke bah rahe the ragon ke andar
kaifiyat hī koī paanī ne badal lī ho kahīñ
ham jise dasht samajhte haiñ vo dariyā hī na ho
Ghazal
ye bhi mumkin hai ki aankhen hon tamasha hi na ho
paanī thā magar apne hī dariyā se judā thā
chaḌhte hue dekhā na utarte hue dekhā
Ghazal
kya tumne kabhi zindagi karte hue dekha
rābta yuuñ rahe āḳhirī saañs tak
jab bhī bichhḌeñ to āñkhoñ meñ paanī rahe
Ghazal
dard dil mein na aankhon mein pani rahe
chhat pe aa.e parinde kī ḳhātir sadā
ek miTTī ke bartan meñ paanī rahe
Ghazal
dard dil mein na aankhon mein pani rahe
dard dil meñ na āñkhoñ meñ paanī rahe
apne chehre pe bas shādmānī rahe
Ghazal
dard dil mein na aankhon mein pani rahe
vo paanī huuñ shīrīñ nahīñ jis meñ shor
vo ātish huuñ jis meñ sharāra nahīñ
Ghazal
mera raaz-e-dil aashkara nahin
shadīd pyaas thī phir bhī chhuā na paanī ko
maiñ dekhtā rahā dariyā tirī ravānī ko
Sher
shadid pyas thi phir bhi chhua na pani ko
paanī le sakte haiñ dariyā se magar kuuze meñ ham
bahte dariyā kī ravānī band kar sakte nahīñ
Qita
pani le sakte hain dariya se magar kuze mein hum
dil pāgal hai roz na.ī nādānī kartā hai
aag meñ aag milātā hai phir paanī kartā hai
Ghazal
mera malik jab taufiq arzani karta hai
baḌh gayā dariyā kā paanī kaf uḌātā mauj mauj
uḌ ga.iiñ kūñjoñ kī Dāreñ zindagī ai zindagī
Ghazal
jo teri afshan sanwaren zindagi ai zindagi
paanī meñ hai aag kā lagānā dushvār
bahte dariyā ko pher laanā dushvār
Rubaai
pani mein hai aag ka lagana dushwar
ho ga.ī 'shāhid' vo chashm-e-sañg paanī kyā huā
kis tarah nāḳhun se patthar par khudā.ī ho ga.ī
Ghazal
abr sarka chand ki chehra-numai ho gai
shahr vo sāhūkār hai jis ko kos rahā hai har koī
ye sach bhī sab ko ma.alūm hai dāna-pānī us ke paas
Ghazal
har mauqe ki har rishte ki Dher nishani uske pas
paanī kī lai pe gaatā
ik kashtī-e-havā meñ
Nazm
dariya-e-KHun
lahroñ meñ bhañvar nikleñge mehvar na milegā
har mauj meñ paanī bhī barābar na milegā
Ghazal
lahron mein bhanwar niklenge mehwar na milega
paanī jaisā Thahar ga.iiñ tum
havā ke jaisā bikhar gayā maiñ
Nazm
tumhaare liye

Top Urdushayar.com