Tags-Peace

hāshiye par likhī huī huuñ maiñ
amn kī baat āḳhirī huuñ maiñ
Ghazal
hashiye par likhi hui hun main
is kā dushman dushman-e-amn-o-amāñ
prem kā andāz hai urdu zabāñ
Nazm
urdu zaban
ho jo duniyā ke liye amn-o-sukūñ kā zāmin
aisā paiġhām sunāo to koī baat bane
Ghazal
nafraten dil se miTao to koi baat bane
amn ke ḳhvāhāñ haiñ jab 'afsar' jahāñ vaale tamām
kashmakash rahtī hai phir itnī jahāñ-bānoñ meñ kyuuñ
Ghazal
aks hai be-tabiyon ka dil ki armanon mein kyun
aañkh sahmī huī Dartī huī dekhī ga.ī hai
amn kī fāḳhta martī huī dekhī ga.ī hai
Ghazal
aankh sahmi hui Darti hui dekhi gai hai
amn-ālam meñ kyuuñ nahīñ yā rab
is ke qābil magar bashar na huā
Ghazal
sang-e-tiflan fida-e-sar na hua
ham amn chāhte haiñ magar zulm ke ḳhilāf
gar jañg lāzmī hai to phir jañg hī sahī
Sher
hum amn chahte hain magar zulm ke KHilaf
duniyā ne jise rif.at-e-fārāñ se sunā thā
hai amn kā zāmin vahī paiġhām abhī tak
Ghazal
faizan-e-mohabbat na hua aam abhi tak
lahrā rahā hai dekho ākāsh par tirañgā
amn-o-amāñ kā paikar jhanDā vo rañg-birañga
Nazm
tiranga
lahrā rahā hai dekho ākāsh par tirañgā
amn-o-amāñ kā paikar jhanDā vo rañg-birañga
Nazm
tiranga
lahrā rahā hai dekho ākāsh par tirañgā
amn-o-amāñ kā paikar jhanDā vo rañg-birañga
Nazm
tiranga
lahrā rahā hai dekho ākāsh par tirañgā
amn-o-amāñ kā paikar jhanDā vo rañg-birañga
Nazm
tiranga
ab ham se pareshāñ-hālāñ ko kyā amn-o-sukūñ raas aa.egā
yūñhī bohrānī chalne do saarā hañgāmī rahne do
Ghazal
marne ki puKHta-KHayali mein jine ki KHami rahne do
kahīñ duur sāhil pe utre dhanak
kahīñ naav par amn-bādal chale
Ghazal
use jab bhi dekha bahut dhyan se
haa.e vo yaad kahāñ hai ki ḳhudā ḳhair kare
dil meñ phir amn-o-amāñ hai ki ḳhudā ḳhair kare
Ghazal
hae wo yaad kahan hai ki KHuda KHair kare
amn har shaḳhs kī zarūrat hai
is liye amn se mohabbat hai
Sher
amn har shaKHs ki zarurat hai
bahtā paanī phuul kañval ke saath bahā le aatā hai
amn kī aashā naav banī hai dariyāoñ ke dhāroñ meñ
Ghazal
sasti shohrat hasil karne kuchon mein chaubaron mein
ham amn meñ rakhte haiñ yaqīn-e-kāmil
hai amn-e-jahāñgīr hamārī manzil
Rubaai
hamara aqida
ġhurūb hote ga.e raat ke añdheroñ meñ
naved-e-amn ke sūraj ko DhūñDte hue din
Ghazal
ye gard-baad-e-tamana mein ghumte hue din
gosha-e-amn nahīñ aaj bhī bulbul ko nasīb
chashm-e-sayyād bahar-sū nigarāñ aaj bhī hai
Ghazal
zindagi mail-e-fariyaad-o-fughan aaj bhi hai

Top Urdushayar.com