Tags-Phool

khule haiñ dāġhoñ ke phuul tan par bahār-e-tāza hai ai gul-e-tar
kabhī to merī taraf nazar kar chaman meñ kyā shāḳh-e-za.afrān hai
Ghazal
gaya jawani ka sath sab kuchh wo garmi-e-ishq ab kahan hai
thā kabhī daur-e-asīrān-e-qafas ai sayyād
ab to ik phuul kī muhtāj haiñ gulshan kaisā
Ghazal
uns hai KHana-e-sayyaad se gulshan kaisa
chhuT ke us phuul se barbād paḌe phirte haiñ
ham to ab tā.ir-e-nighat haiñ nasheman kaisā
Ghazal
uns hai KHana-e-sayyaad se gulshan kaisa
kyuuñ na apnī ḳhūbi-e-qismat pe itrātī havā
phuul jaise ik badan ko chhū kar aa.ī thī havā
Sher
kyun na apni KHubi-e-qismat pe itraati hawa
na phuul murġh-e-chaman apnī ḳhush-navā.ī par
javāb haiñ mire naale tire tarāne ke
Ghazal
jatate rahte hain ye hadse zamane ke
tumhāre vasl ko va.adoñ meñ rakh diyā maiñ ne
ki jaise phuul kitāboñ meñ rakh diyā maiñ ne
Ghazal
tumhaare wasl ko wadon mein rakh diya maine
'sīmāb' phuul ugeñ lahad-e-andalīb se
itnī to zindagī ho havā-e-bahār meñ
Ghazal
shayad jagah nasib ho us gul ke haar mein
shāyad jagah nasīb ho us gul ke haar meñ
maiñ phuul ban ke ā.ūñgā ab kī bahār meñ
Ghazal
shayad jagah nasib ho us gul ke haar mein
tujhe mire liye nīndoñ ke phuul laane the
ye kaisā āñkhoñ ko baḳhshā hai ratjagā tū ne
Ghazal
mujhe bhula ke mujhe yaad bhi rakha tu ne
kaliyāñ udaas phuul fasurda sabā ḳhamosh
ab ke chaman pe rañg-e-ḳhizāñ der tak rahā
Ghazal
har marg-e-arzu ka nishan der tak raha
sub.h-dam
khil uThe chāroñ taraf bachchoñ ke rañgīñ qahqahoñ aur tāliyoñ ke shoḳh phuul
Nazm
kaghaz ki naw
har rañg hai tere aage phīkā
mahtāb hai phuul chāñdnī kā
Sher
har rang hai tere aage phika
ye chīthaḌoñ meñ phuul ye sargarm-e-kār log
ye dopahar kī dhuup ye jaltī huī havā
Ghazal
kya gul khilae dekhiye tapti hui hawa
chaman-zār-e-tamannā kā faqat ik phuul murjhāyā
usī din se mire gulshan kī vīrānī nahīñ jaatī
Ghazal
azal se baada-e-hasti ki arzani nahin jati
jī kahtā hai kāñToñ ko bhī hoñToñ se lagā luuñ
har phuul se aatī hai lab-e-yār kī ḳhushbū
Ghazal
diwana bana degi tere pyar ki KHushbu
chandā chamke kaliyāñ chaTkīñ phuul khileñ
jis din us ko dekheñ ḳhvāb ajab dekheñ
Ghazal
bolti aankhen dekhin jagte lab dekhen
kalī hai mohr-ba-lab phuul hai garebāñ chaak
ajal kī dhuup hai phirtī hai saa.e saa.e sabā
Ghazal
koi kali hai na ghuncha na gul bara-e-saba
uñgliyāñ chhūte hī jal jaa.eñ
phuul ke andar sho.ale dekho
Ghazal
pyar ke bandhan rishte dekho
kyā chhupeñ ḳhushbueñ rusvā.ī kī
pyaar ke phuul mahakte haiñ bahut
Ghazal
dur tak rah mein kanTe hain bahut
us ke ruḳhsār pe bārish kī vo halkī būñdeñ
phuul par qatra-e-shabnam kā nazārā bhī hai
Ghazal
uski aankhon mein haya aur ishaara bhi hai

Top Urdushayar.com