Tags-Phool

ḳhuuñ chuus rahā hai paudoñ kā ik phuul jo ḳhandāñ hotā hai
pāmāl banā kar sabzoñ ko ik sarv ḳharāma hotā hai
Nazm
nadaron ki eid
toshak ke phuul ban ga.e añgāre hijr meñ
dahkā kī ek aag sī saare palañg par
Ghazal
sote hain phail phail ke sare palang par
use paak nazroñ se chūmnā bhī ibādatoñ meñ shumār hai
koī phuul laakh qarīb ho kabhī maiñ ne us ko chhuā nahīñ
Sher
use pak nazron se chumna bhi ibaadaton mein shumar hai
banā ke phuul kī ḳhushbū phirā.egī sadiyoñ
havā se kaun rah-e-e'tidāl pūchhegā
Ghazal
udas dekh ke wajh-e-malal puchhega
aaj bahut kam phuul khile haiñ
shāyad mausam badal rahā hai
Ghazal
sine mein ek shor macha hai
ek tabassum dekh ke tere hoñToñ par
phuul ḳhizāñ kī rut meñ khilne lagte haiñ
Ghazal
shaKHon par jab patte hilne lagte hain
phuul ke saa.e meñ kāñToñ ko bhī rahne diije
sub.h kī qadr na kī jaa.e agar shaam na ho
Ghazal
dastan kah ke pareshan dil-e-nakaam na ho
bichhe the rāhoñ meñ phuul kitne
jo bhā gayā vo gulāb ho tum
Ghazal
sulagti nazron ka KHwab ho tum
jahān meñ haiñ subuk-bār kab shagufta-mizāj
chaman ke phuul liye bār-e-rañg-o-bū aa.e
Ghazal
haTe ye aaina mahfil se aur tu aae
kaḌī ho dhuup to do phuul pyaar ke hañs kar
tapsīda rāhoñ meñ shāḳh-e-shajar banāte haiñ
Ghazal
wajud ko jigar-e-motabar banate hain
mausam-e-gul kī tañg-dāmānī
phuul māñge the ḳhaar paa.e haiñ
Ghazal
zer-e-lab aap gungunae hain
patthar hai tere haath meñ yā koī phuul hai
jab tū qubūl hai tirā sab kuchh qubūl hai
Sher
patthar hai tere hath mein ya koi phul hai
vaqt-e-ruḳhsat bhīgtī palkoñ kā manzar yaad hai
phuul sī ā.ankhoñ meñ shabnam kī namī achchhī lagī
Ghazal
jo nahin lagti thi kal tak ab wahi achchhi lagi
vo bhī pahchān na paayā mujhe apnoñ kī tarah
phuul bhī kahtā hai patthar bhī batātā hai mujhe
Ghazal
kaun tanhai ka ehsas dilata hai mujhe
raat vo hashr gulistāñ meñ uThā hai yaaro
subah har phuul ne shabnam se sharāre māñge
Ghazal
chand manga na kabhi humne sitare mange
qurbat ke us peḌ kī shāḳhoñ par dekho
phuul udāsī kā hai samar afsos kā hai
Ghazal
jaanan dil ka shahr nagar afsos ka hai
titliyāñ pakaḌne meñ duur tak nikal jaanā
kitnā achchhā lagtā hai phuul jaise bachchoñ par
Sher
titliyan pakaDne mein dur tak nikal jaana
haa.e ḳhushbū se tire dard kī nisbat na ga.ī
maiñ ne har phuul ko siine se lagā rakkhā hai
Ghazal
ek raat aapne ummid pe kya rakkha hai
ārzūoñ ne ka.ī phuul chune the lekin
zindagī ḳhār-badāmāñ hai ise kyā kahiye
Ghazal
aql har baat pe hairan hai ise kya kahiye
aks ko phuul banāne meñ guzar jaatī hai
zindagī ā.ina-ḳhāne meñ guzar jaatī hai
Ghazal
aks ko phul banane mein guzar jati hai

Top Urdushayar.com