Tags-Sach

sach kah ai bād-e-sabā hai kisī gul par ye bahār
tū ne dekhe haiñ zamāne ke gulistāñ itne
Ghazal
aao kuchh shaghl karen baiThe hain uryan itne
hinā kā rañg ye hargiz nahīñ hai sach batā zālim
ye kis kā phuul sā dil tū ne paañv se masal Daalā
Sher
hina ka rang ye hargiz nahin hai sach bata zalim
apnā sach us ko sunāne ke liye
ham ko qissoñ kā havāla chāhiye
Sher
apna sach usko sunane ke liye
aise tayyār huā baiThā huuñ
jaise sach-much hī kahīñ jaanā hai
Sher
aise tayyar hua baiTha hun
ye agar sach hai to phir aaj ise sābit kar
ki sunā hai tū sar-e-arsh-e-barīñ suntā hai
Ghazal
KHud se to aae na the ahl-e-zamin sunta hai
sapnoñ ko sach kī maalā pahnā.eñge
manzil manzil aage baḌhte jā.eñge
Nazm
jiwan hai wardan tirange jhanDe ka
tum ne hañste hañste naata toḌ liyā
lekin sach sach batlāo ḳhush honā kyā
Ghazal
gham ka mausam bit gaya so rona kya
un ke laane kī na sūjhī tujhe qāsid tadbīr
jhuuT sach koī to afsāna banāyā hotā
Ghazal
meri wahshat ka jo afsana banaya hota
vo ek jhuuT thā jo raushnī meñ aa pahuñchā
ye ek sach hai añdheroñ meñ jo bhaTaktā hai
Ghazal
wahan to rose sitara naya chamakta hai
vo kahte haiñ maiñ zindagānī huuñ terī
ye sach hai to un kā bharosā nahīñ hai
Sher
wo kahte hain main zindagani hun teri
batā.ūñ kaise ki sach bolnā zarūrī hai
ta.alluqāt meñ ye tajraba zarūrī hai
Ghazal
bataun kaise ki sach bolna zaruri hai
'nāyāb' shāḳh-e-chashm meñ khilte haiñ ab bhī ḳhvāb
sach hai tirā qayās ki zinda huuñ maiñ abhī
Ghazal
dil se nikal yas ki zinda hun main abhi
nashshe meñ taḳht-o-tāj ke kal tak jo chuur the
sach hai lahad meñ aaj vahī be-nishāñ hue
Ghazal
tasKHir sab nujum-o-mah-o-kahkashan hue
tumhāre lafzoñ kī dhīmī ḳhushbū havās-e-ḳhamsa ko nochtī hai
ḳhatoñ kī sūrat meñ sach kahūñ to azaab rakkhe hue haiñ ghar meñ
Ghazal
jo pure hone se rah gae the wo KHwab rakkhe hue hain ghar mein
sach to ye hai phuul kā dil bhī chhalnī hai
hañstā chehra ek bahānā lagtā hai
Sher
sach to ye hai phul ka dil bhi chhalni hai
vo ab ke aa.e to sach un ke saath thā lekin
ajiib tarah kā be-dard sach thā
Nazm
nae log
ai dil kabhī patthar bhī kahīñ mom hue haiñ
jo ḳhvāb meñ dekhā hai kahīñ sach bhī huā hai
Ghazal
dil hai ki hamein phir se udhar le ke chala hai
jaan le kahtī huuñ lalkār ke maiñ tujh se adū
maiñ ne sīkhā hai sadā sach kī himāyat karnā
Ghazal
ho sake to mujhe ek sham inayat karna
ye bhī nahīñ ki un se mohabbat nahīñ rahī
ye bhī hai sach ki diid kī hasrat nahīñ rahī
Ghazal
ye bhi nahin ki un se mohabbat nahin rahi
hai ye sach ki mausam-e-hijr meñ mirā ḳhaar ḳhaar badan huā
kabhī yaad tujh ko jo kar liyā to badan ke ḳhaar chale ga.e
Ghazal
wo jo phul the teri yaad ke tah-e-dast-e-Khaar chale gae

Top Urdushayar.com