English
English
اردو
हिन्दी
Favourite
Favourite (3)
Favourite
shayari
shayar
collections
tags
dictionary
Expand menu
Sign in
Account
Collections
Lab Shayari
Motivational Ghazals
Best Khamoshi Shayari
More Collections
Home
Shayar
Shayari
Sher
Ghazal
Nazm
Tags
Dictionary
Home
Tags
Shahr
Tags-Shahr
ġhubār-e-vaqt ne kuchh yuuñ badal diye chehre
ḳhud apnā shahr bhī mujh ko nayā nayā sā lagā
Ghazal
wo yun mila ki ba-zahir KHafa KHafa sa laga
zindagī hañstī hai sub.h-o-shām tere shahr meñ
aam hai daur-e-mai-e-gulfām tere shahr meñ
Ghazal
zindagi hansti hai subh-o-sham tere shahr mein
kis qadar mash.hūr haiñ vo log jo haiñ bul-havas
aur ik ham haiñ ki haiñ badnām tere shahr meñ
Ghazal
zindagi hansti hai subh-o-sham tere shahr mein
koī saudā.ī koī kahtā hai dīvāna mujhe
roz miltā hai nayā ik naam tere shahr meñ
Ghazal
zindagi hansti hai subh-o-sham tere shahr mein
ham junūn-e-ishq ke bā-vasf bhī hoshyār haiñ
sub.h tere shahr meñ haiñ shaam tere shahr meñ
Ghazal
zindagi hansti hai subh-o-sham tere shahr mein
zindagī mujh ko mile yā maut kā ho sāmnā
jo bhī honā hai vo ho anjām tere shahr meñ
Ghazal
zindagi hansti hai subh-o-sham tere shahr mein
kār-farmā terī nazreñ hukmarāñ terā jamāl
kāñptī hai gardish-e-ayyām tere shahr meñ
Ghazal
zindagi hansti hai subh-o-sham tere shahr mein
har taraf aish-o-masarrat har taraf mauj-e-'shamīm'
lutf-sāmāñ zindagī hai aam tere shahr meñ
Ghazal
zindagi hansti hai subh-o-sham tere shahr mein
ajiib shahr kā naqshā dikhā.ī detā hai
jidhar bhī dekho añdherā dikhā.ī detā hai
Ghazal
ajib shahr ka naqsha dikhai deta hai
nahīñ fareb-e-nazar ye yahī haqīqat hai
mujhe to shahr bhī sahrā dikhā.ī detā hai
Ghazal
ajib shahr ka naqsha dikhai deta hai
vaadī o sahrā chhoḌ ke jab se tere shahr meñ aan base
jañgal jañgal DhūñDte phirte ham ko saare ġhazālāñ haiñ
Ghazal
gali gali ki Thokar khai kab se KHwar o pareshan hain
shor karte haiñ parinde peḌ kaTtā dekh kar
shahr ke dast-e-havas ko kaun aarī de gayā
Ghazal
chand phir taron ki ujli rezgari de gaya
yahī vo shahr jo mere laboñ se boltā thā
yahī vo shahr jo merī zabān dekhtā hai
Ghazal
paron ko khol zamana uDan dekhta hai
ye be-lihāz nigāheñ ye ajnabī chehre
panap rahā hai koī shahr jaise gaañv meñ
Ghazal
ye zaKHm zaKHm badan aur nam fazaon mein
kitne hue haiñ ḳhuun yahāñ ik usuul ke
ā.eñge ab na shahr-e-tamannā meñ bhuul ke
Ghazal
kitne hue hain KHun yahan ek usul ke
nahīñ mālūm ki kyā dekhne aa.e the udhar
be-ajar log bahut shahr-e-tamāshā meñ mile
Ghazal
gulshan-e-dil mein mile aql ke sahra mein mile
DhūñDhtī rahtī hai har lamha nigāh-e-dahshat
aur kis shahr-e-mohabbat meñ amaañ baaqī hai
Ghazal
is tamashe ka sabab warna kahan baqi hai
lagtā hai judā sab se kirdār 'vasīm' us kā
vo shahr-e-mohabbat kā bāshinda nazar aa.e
Sher
lagta hai juda sab se kirdar wasim us ka
rahne ke liye ham se gunahgāroñ ke yā rab
kyā shahr-e-adam meñ koī zindāñ na milegā
Ghazal
aashiq to milenge tujhe insan na milega
maqtal-e-shahr meñ jab harf-e-vafā kho jaa.e
tum kisī chīḳh kī mānind ubharnā sīkho
Ghazal
surKH lawe ki tarah tap ke nikharna sikho
Prev
161 / 339
1
...
158
159
160
161
162
163
164
...
339
Next
Top
Urdushayar.com