Tags-Shama

vo ek sham ki ḳhud jal uThe haiñ ghar ke charāġh
vo ek sub.h ki ḳhud jis pe ro paḌī shabnam
Ghazal
na koi aah na koi KHalish na dard na gham
TuuT kar mai pe yuuñ girī tauba
jaise parvāna sham-e-mahfil par
Sher
TuT kar mai pe yun giri tauba
juuñ sham.a agar na sar dhunūñ meñ
kyā kaam karūñ varā-e-afsos
Ghazal
go yan na kisi ko aae afsos
is rāz-e-ishq ko kahīñ ro ro ke sham.a saañ
iz.hār kījiyo na 'jahāñdār' dekhnā
Ghazal
sunta nahin kisu hi ki wo yar dekhna
sham-e-jamāl apne pe chāhe jo imtihāñ
parvāna-vār mujh ko bhī yak-bār dekhnā
Ghazal
sunta nahin kisu hi ki wo yar dekhna
bujhtī sham.a kī sūrat kyuuñ afsurda khaḌe ho khiḌkī meñ
dekho shaam hai kis darja dilkash is dhuup kī vardī meñ
Ghazal
bujhti shama ki surat kyun afsurda khaDe ho khiDki mein
rusvā na kar is soz ko ai sham-e-lab-e-gor
jo vāqif-e-dil-sozi-e-hamdam na huā thā
Ghazal
yun nazm-e-jahan darham-o-barham na hua tha
be-soz hai bazm-e-ilm-o-dānish
sham-e-yaqīñ kā parvāna ban jā
Ghazal
hosh o KHirad se begana ban ja
us dasht meñ mirā hī hayūlā thā har taraf
maiñ ne hī sham-e-ishq jalā lī koī na thā
Ghazal
ye shahr aafaton se to Khaali koi na tha
havā.eñ detī haiñ dastak mire darīchoñ par
mujhe ye Dar hai na bujh jaa.e terī sham-e-hayāt
Nazm
hawa ka nauha
sham.a raushan hai sar-e-bazm nigāhoñ meñ magar
kis ko mālūm dabe paañv añdherā aayā
Qita
shama raushan hai sar-e-bazm nigahon mein magar
sham.a ke gaah tāj-e-sar haiñ ham
gah patiñge ke bāl-o-par haiñ ham
Ghazal
har nafas murid-e-safar hain hum
ye ghane lamhāt ye mauhūm āvāzoñ kā shor
DhūñD le ai sham-e-tanhā.ī ki kho jaate haiñ ham
Ghazal
KHushk patton ki tarah shaKHon se gir jate hain hum
husn ko dil meñ chhupā kar dekho
dhyān kī sham.a jalā kar dekho
Ghazal
husn ko dil mein chhupa kar dekho
sham-e-ummīd huuñ magar 'sahbā'
band fānūs‌‌‌‌-e-ranj-o-yās meñ huuñ
Ghazal
ek andoh-e-be-qayas mein hun
lau machaltī hai khulī khiḌkī meñ
roz ik sham.a dharī dekhtā huuñ
Ghazal
fasl ki jalwagari dekhta hun
raushan sī ho ga.ī hai mire dil kī kā.enāt
jo terī ārzuoñ kī ik sham.a jal ga.ī
Ghazal
tere hi gham se meri tabiat bahal gai
huī dil meñ jab se hai shola-zan mirī ātish-e-ishq kī har nafas
jo patañg o sham.a meñ dekhiye na vo soz hai na gudāz hai
Ghazal
mere dil mein hijr ke bab hain tujhe ab talak wahi naz hai
ma.āl-e-āshiq o māshūq hai ek
sunā hai sham-e-sozāñ kī zabānī
Ghazal
takallum jo koi karta hai fani

Top Urdushayar.com