English
English
اردو
हिन्दी
Favourite
Favourite (3)
Favourite
shayari
shayar
collections
tags
dictionary
Expand menu
Sign in
Account
Collections
Lab Shayari
Motivational Ghazals
Best Khamoshi Shayari
More Collections
Home
Shayar
Shayari
Sher
Ghazal
Nazm
Tags
Dictionary
Home
Tags
Tauba
Tags-Tauba
tauba to kī hai ishq se par is kā kyā ilaaj
be-qasd dil kisī ko agar chāhne lage
Sher
tauba to ki hai ishq se par is ka kya ilaj
duā-e-tauba bhī ham ne paḌhī to mai pī kar
maza hī ham ko kisī shai kā be-sharāb na thā
Ghazal
kaha jo maine ki yusuf ko ye hijab na tha
itnī pī hai ki ba.ad-e-tauba bhī
be-piye be-ḳhudī sī rahtī hai
Ghazal
ishq mein dil-lagi si rahti hai
umīd-o-yās meñ ye roz-o-shab kī kashmakash tauba
ba-har-lamha fareb-e-gardish-e-ayyām kyā kahiye
Ghazal
junun-e-ishq ka jo kuchh hua anjam kya kahiye
tauba na muñh lagā.egī rindoñ ko duḳht-e-raz
qālib meñ us ke ruuh kisī pārsā kī hai
Ghazal
bhar din shabab ne ye un aankhon mein shoKHiyan
ḳhūn-e-nāhaq hai ye are tauba
sub.h ġhunchoñ kā shaam phūloñ kā
Ghazal
kya miTa doge nam phulon ka
ġhusl-e-tauba ke liye bhī nahīñ miltī hai sharāb
ab hameñ pyaas lagī hai to koī jaam nahīñ
Sher
ghusl-e-tauba ke liye bhi nahin milti hai sharab
ham se mai-kash jo tauba kar baiTheñ
phir ye kār-e-savāb kaun kare
Sher
humse mai-kash jo tauba kar baiThen
vo qulqul-e-mīnā meñ charche mirī tauba ke
aur shīsha-o-sāġhar kī mai-ḳhāne meñ sargoshī
Sher
wo qulqul-e-mina mein charche meri tauba ke
mujh ko 'beḳhud' jab kabhī aayā hai tauba kā ḳhayāl
der tak apne gunāhoñ kā ḳhayāl aatā rahā
Ghazal
hijr ki shab zulf-e-barham ka KHayal aata raha
fatvā diyā hai muftī-e-abr-e-bahār ne
tauba kā ḳhuun bāda-kashoñ ko halāl hai
Sher
fatwa diya hai mufti-e-abr-e-bahaar ne
talḳhi-e-zindagī are tauba
zahr meñ zahr kā mazā na milā
Sher
talKHi-e-zindagi are tauba
tauba karnā to bahut āsān hai
phir badal jā.egī niyyat dekhnā
Ghazal
pher len aankhen murawwat dekhna
ḳhūb-rūyoñ kī mohabbat se kareñ kyuuñ tauba
diin apnā hai yahī aur yahī islām apnā
Sher
KHub-ruyon ki mohabbat se karen kyun tauba
tauba kar lī jab us ne piine se
jānib-e-mai-kada gayā kyuuñ hai
Ghazal
pas hote hue juda kyun hai
mai kī tauba ko to muddat huī 'qā.em' lekin
be-talab ab bhī jo mil jaa.e to inkār nahīñ
Sher
mai ki tauba ko to muddat hui qaem lekin
ishq se tauba bhī hai husn se shikve bhī hazār
kahiye to hazrat-e-dil aap kā manshā kyā hai
Ghazal
jaur-o-be-mehri-e-ighmaz pe kya rota hai
tere jalvoñ kī ye shoḳhī are tauba tauba
hosh muusā kā sar-e-tūr uThā rakkhā hai
Ghazal
mujhko duniya ke har ek gham se chhuDa rakkha hai
bārish meñ ahd toḌ ke gar mai-kashī huī
tauba marī phiregī kahāñ bhīgtī huī
Ghazal
barish mein ahd toD ke gar mai-kashi hui
ba.ad-e-tauba ātish-e-sayyāl-e-ḳhum
mere ghar se ho ke paanī jā.egī
Ghazal
hogi wo dil mein jo Thani jaegi
Prev
11 / 36
1
...
8
9
10
11
12
13
14
...
36
Next
Top
Urdushayar.com