Tags-Teer

logoñ kā ehsān hai mujh par aur tirā maiñ shukr-guzār
tīr-e-nazar se tum ne maarā laash uThā.ī logoñ ne
Sher
logon ka ehsan hai mujh par aur tera main shukr-guzar
kalkatte kā jo zikr kiyā tū ne ham-nashīñ
ik tiir mere siine meñ maarā ki haa.e haa.e
Sher
kalkatte ka jo zikr kiya tu ne ham-nashin
ye aur baat ki vo sab se pahle Duub gayā
tumhārā 'tāj' bhī ḳhud-āgahī kī tair meñ thā
Ghazal
main uski aankh mein wo mere dil ki sair mein tha
bad-gumān hāthoñ meñ kis ne dī kamān āḳhir
ḳhud hī the nishāne par tiir chal gayā hogā
Ghazal
ashk tham gae honge dil sambhal gaya hoga
mizhgāñ se bach 'nasīm' ki abrū ke paas haiñ
ye tīr-e-be-ḳhatā haiñ kamān-e-kashīda ke
Ghazal
kahte hain sun ke tazkire mujh gham-rasida ke
azm-e-mohkam liye maiñ pesh nazar aa.ī huuñ
tiir alfāz kā be-ḳhauf chalāne vaale
Ghazal
dard ki jot mere dil mein jagane wale
sun lete haiñ sargoshī ko chup meñ Dhalte hue
chun lete haiñ tiir jo apne barābar girte haiñ
Ghazal
wade yaKH-basta kamron ke andar girte hain
gum ho gayā shikār nigāhoñ ke sāmne
TuuTī ho jab kamān to phir tiir kyā kare
Ghazal
taqdir ho KHarab to tadbir kya kare
ta.ammul ke tum ko duur se jo bhuul ga.e apnā pisar
vo gosh-o-abrū khīñch kar mizhgān tīr-andāz the
Ghazal
bahri pacchane nin use gul ke so wo dam-saz the
vaqt ke tiir to siine pe sambhāle ham ne
aur jo niil paḌe haiñ tirī guftār se haiñ
Ghazal
peD ke patton mein halchal hai KHabar-dar se hain
lagā tiir sā aa ke 'mānī' ke dil par
jab in abruoñ kī kamāneñ nikālīñ
Ghazal
mohabbat ne kya kya na aanen nikalin
is ko kahte haiñ jahāñ meñ log sachchī ulfateñ
tiir jab dil se khichegā to kamāñ ho jā.egā
Ghazal
kya KHabar thi raaz-e-dil apna ayan ho jaega
maiñ apne siine se sharminda hone vaalā thā
ki aa lagā koī tīr-e-jafā nishāne par
Ghazal
ulaT gaya hai har ek silsila nishane par
terā tīr-e-nigah hai vo kāfir
muñh se ik dam judā tū kar ghūñgat
Ghazal
aankhen hain josh-e-ashk se panghaT
tiir jaise kamān ke aage
maut kuḌel javān ke aage
Ghazal
tir jaise kaman ke aage
kyā nishāna Thiik baiThegā havā-e-tez meñ
jo kamāñ se tiir niklegā ḳhatā ho jā.egā
Ghazal
rishta-e-dil bhi kisi din KHwab sa ho jaega
sab nishāne agar sahīh hote
tiir koī ḳhatā nahīñ hotā
Ghazal
kar bura to bhala nahin hota
is mahīne meñ ġhārat-garī man.a thii, peḌ kaTte na the tiir bikte na the
be-ḳhatar thī zamīñ mustaqar ke liye
Nazm
imtinaa ka mahina
chāhe jise banā.iye apnā nishāna-e-nazar
zad pe tumhāre tiir ke dil bhī hai aur jigar bhī hai
Ghazal
parde uThe hue bhi hain unki idhar nazar bhi hai
koī talvār ḳhanjar na tīr-o-tabar
hurmula ke liye ik hañsī maut hai
Ghazal
maut hai zindagi zindagi maut hai

Top Urdushayar.com