Tags-Yaad

kaun yaad aayā ye mahkāreñ kahāñ se aa ga.iiñ
dasht meñ ḳhushbū kī bauchhāreñ kahāñ se aa ga.iiñ
Ghazal
kaun yaad aaya ye mahkaren kahan se aa gain
ḳhush-jamāloñ kī yaad aatī hai
be-misāloñ kī yaad aatī hai
Ghazal
KHush-jamalon ki yaad aati hai
bā.is-e-rashk mehr-o-māh the jo
un hilāloñ kī yaad aatī hai
Ghazal
KHush-jamalon ki yaad aati hai
jin kī āñkhoñ meñ thā surūr-e-ġhazal
un ġhazāloñ kī yaad aatī hai
Ghazal
KHush-jamalon ki yaad aati hai
bache-kuchhe se ye pal bhī guzar hī jā.eñge
kisī kī yaad meñ sāhil pe shaam karte hue
Ghazal
mere raqib se hans kar kalam karte hue
sach hai 'nizām' yaad bhī us ko na hoñge ham
par kyā kareñ vo ham se bhulāyā na jā.egā
Sher
sach hai nizam yaad bhi usko na honge hum
bhūle se koī naam vafā kā nahīñ letā
duniyā ko abhī yaad hai anjām hamārā
Ghazal
qaem hai surur-e-mai-e-gulfam hamara
'ḳhālid' mujhe to achchhī tarah yaad bhī nahīñ
vo hādsa jo kal mirī palkeñ bhigo gayā
Ghazal
kitne tafakkuraat se aazad ho gaya
kiyā hai yaad us ne aaj shāyad
mizāj-e-zindagī barham nahīñ hai
Ghazal
KHushi gar hai to kya matam nahin hai
shab-e-ġham sahmī sahmī yaad un kī
andhere meñ diyā sā jal rahā hai
Ghazal
un aankhon ko nazar kya aa gaya hai
kuchh tujhe yaad hai ai chashm-e-zuleḳhā-e-jahāñ
ham sā yūsuf bhī koī misr ke bāzār meñ thā
Ghazal
pas-e-namus-e-tamanna har ek aazar mein tha
jin āñkhoñ kī udāsī meñ bayābāñ saañs lete haiñ
unhīñ kī yaad meñ naġhmoñ kā ye dariyā nikal aayā
Ghazal
bahut tha KHauf jis ka phir wahi qissa nikal aaya
aañkh barsī hai tire naam pe sāvan kī tarah
jism sulgā hai tirī yaad meñ īñdhan kī tarah
Ghazal
aankh barsi hai tere nam pe sawan ki tarah
butoñ ko dekhte hī huuk sī ik dil meñ uThtī hai
dil-e-momin se yād-e-kufr-sāmānī nahīñ jaatī
Ghazal
main shahri hun magar meri bayabani nahin jati
sub.h jaagā to yaad bhī na rahā
raat thī chāñdnī ki chāñdnī raat
Ghazal
gard mein aT rahe hain ehsasat
vo ibtidā-e-safar ab bhī yaad aatī hai
kisī meñ merī rifāqat kā hausla bhī na thā
Ghazal
wo shaKHs meri rasai se mawara bhi na tha
aise hijr ke mausam kab kab aate haiñ
tere alāva yaad hameñ sab aate haiñ
Sher
aise hijr ke mausam kab kab aate hain
kabhī chhoḌī huī manzil bhī yaad aatī hai raahī ko
khaTak sī hai jo siine meñ ġham-e-manzil na ban jaa.e
Sher
kabhi chhoDi hui manzil bhi yaad aati hai rahi ko
umr ke ik daur meñ yaad aa.egā sahrā kā saath
ye safar jo hai haqīqat dāstāñ ho jā.egā
Ghazal
aankh se nikla to ek sail-e-rawan ho jaega

Top Urdushayar.com