Tags-Aaina

jo dekhtā hai mujhe ā.īne ke andar se
vo kaun hai koī pūchhe bhī us sitamgar se
Ghazal
jo dekhta hai mujhe aaine ke andar se
kisī kā naqsh banāte haiñ lauh-e-dil par ham
kisī kā aks sar-e-ā.īna banāte haiñ
Ghazal
kahan kisi ka banaya hua banate hain
maiñ tire husn kā ḳhalvat meñ tamāshā.ī huuñ
ā.īna siikh na jaa.e kahīñ hairat merī
Ghazal
dekh kya teri judai mein hai haalat meri
ā.īna dekhne kī zarūrat na thī koī
apne ko ḳhud hī aap ne hairāñ banā liyā
Ghazal
ek bewafa ko dard ka darman bana liya
TūTne se bach bhī sakte the yahāñ sab aa.ine
jaane kyuuñ is shahr ke ā.īna gar ḳhāmosh haiñ
Ghazal
log paband-e-salasil hain magar KHamosh hain
jab koī aib nahīñ hai tujh meñ
ā.īna dekh ke Dartā kyuuñ hai
Ghazal
sab ka chehra tere jaise kyun hai
jhuuT bolā hai koī ā.īna
varna patthar meñ kaise baal aayā
Ghazal
baiThe baiThe koi KHayal aaya
nigāh ā.īna hai aks-e-musta.ār huuñ maiñ
hayāt qarz hai mujh par to zer-e-bār huuñ maiñ
Ghazal
nigah aaina hai aks-e-mustaar hun main
sher kahtā huuñ salīqe se 'shabāb'
ye bhī ā.īna-garī ho jaise
Ghazal
aarzu ek nadi ho jaise
mire hī ḳhvāb tamannā kī lau meñ jalte rahe
mirā hī aks sar-e-ā.īna dikhā.ī diyā
Ghazal
safar mein gard chhaTi rasta dikhai diya
vo ā.īna jise ujlat meñ chhoḌ aa.e the sāthī
na jaane bād-o-ḳhāk-āsār meñ kaisā milegā
Ghazal
gada-e-shahr-e-ainda tahi-kasa milega
ā.īna-ḳhāna banā ke jis ne toḌā thā mujhe
merī kirchoñ meñ usī kī zaat baaqī rah ga.ī
Ghazal
zindagi ke sare mausam aa ke ruKHsat ho gae
ḳhabar bhī hai tujhe ā.īna dekhne vaale
kahāñ gayā hai dupaTTa sarak ke shāne se
Ghazal
KHizan ke jaane se ho ya bahaar aane se
thā e'timād-e-husn se tū is qadar tahī
ā.īna dekhne kā tujhe hausla na thā
Sher
tha etimad-e-husn se tu is qadar tahi
kis kā muñh hai jo tire sanmukh ho
ho na ho ā.īna ho banda-navāz
Ghazal
kya satate ho raho banda-nawaz
kabhī hañs kar kabhī aañsū bahā kar dekh letā huuñ
maiñ har chehre ko ā.īna dikhā kar dekh letā huuñ
Ghazal
kabhi hans kar kabhi aansu baha kar dekh leta hun
hazār jalvoñ kā to rāz-dāñ hai ā.īna
huī na aañkh mayassar tujhe zabān to hai
Ghazal
na koi dar na daricha magar makan to hai
maiñ akelī aañkh thā kyā dekhtā
ā.īna-ḳhāne the nazzāroñ ke biich
Ghazal
ek main bhi hun kulah-daron ke bich

Top Urdushayar.com