Tags-Aaina

usī meñ dekhī thī tasvīr-e-kā.enāt kabhī
vo ā.īna ki jo ab gard gard lagtā hai
Ghazal
har ek sans mein kuchh dard dard lagta hai
chashm ho to ā.īna-ḳhāna hai dahr
muñh nazar aatā hai dīvāroñ ke beach
Ghazal
kash uThin hum bhi gunahgaron ke beach
aa gayā kaun ye aaj us ke muqābil 'aslam'
ā.īna TuuT gayā aks kī tābānī se
Sher
aa gaya kaun ye aaj uske muqabil aslam
un ā.īna-rūyoñ meñ hai vo sitamgar
baḌā ḳhud-ġharaz ḳhud-numā be-muravvat
Ghazal
ye bole jo un ko kaha be-murawwat
mujhe us kī shakl dikhā.ī de na hī apnī shakl dikhā.ī de
mirā ā.īna mire shīshagar kī atā na ho kahīñ yuuñ na ho
Ghazal
wo sadaen deta raha ho maine suna na ho kahin yun na ho
ā.īna-sāz Thiik kahtā hai
shīshagar kī misāl Thiik nahīñ
Ghazal
ye ghalat hai ye sal Thik nahin
ādam-e-ḳhākī se aalam ko jilā hai varna
ā.īna thā to magar qābil-e-dīdār na thā
Sher
aadam-e-KHaki se aalam ko jila hai warna
kījiye shāna o ā.īna kī hālat pe nigāh
sīna-sad-chāk koī hai koī hairāñ un kā
Ghazal
kaba o dair mein jalwa nahin yaksan un ka
is liye kahte the dekhā muñh lagāne kā maza
ā.īna ab aap kā madd-e-muqābil ho gayā
Sher
is liye kahte the dekha munh lagane ka maza
maiñ ā.īna huuñ har ik sāhib-e-nazar ke liye
magar ḳhud apne hī chehre se āshnā na huā
Ghazal
samand-e-KHwab wahan chhoD kar rawana hua
dhyān meñ us ke fanā ho kar koī muñh dekh le
dil vo ā.īna nahīñ jo har koī muñh dekh le
Sher
dhyan mein uske fana ho kar koi munh dekh le
tire jamāl kā partav nahīñ magar phir bhī
ḳhayāl ā.īna-ḳhāna sajā.e baiThā hai
Nazm
buzdil
apne chehre kī lakīroñ se pareshān nahīñ
zaḳhm taaza hai so ā.īna sambhal kar dekhūñ
Ghazal
KHwab to KHwab hain tabir badal kar dekhun
dekh ā.īna jo kahtā hai ki allāh-re maiñ
us kā maiñ dekhne vaalā huuñ 'baqā' vāh-re maiñ
Sher
dekh aaina jo kahta hai ki allah-re main
jab se zulfoñ kā paḌā hai is meñ aks
dil mirā TuuTā huā ā.īna hai
Sher
jab se zulfon ka paDa hai isMein aks
shab-e-firāq meñ aksar maiñ le ke ā.īna
ye dekhtā huuñ ki āñkhoñ meñ ḳhvāb aatā hai
Ghazal
abas abas tujhe mujhse hijab aata hai
ġham se ehsās kā ā.īna jilā paatā hai
aur ġham sīkhe hai aa kar ye salīqa mujh se
Ghazal
jalwa-e-husn-e-azal dida-e-bina mujhse
jhūTā hai jhuuT baat ye bolegā ā.īna
aao hamāre sāmne ham sach batā.eñge
Ghazal
rah-e-talab mein dam-o-diram chhoD jaenge

Top Urdushayar.com