Tags-Dard

'mus.hafī' kyūñke chhupe un se mirā dard-e-nihāñ
yaar to baat ke andāz se pā jaate haiñ
Sher
mushafi kyunke chhupe un se mera dard-e-nihan
ain-mumkin hai kisī tarz-e-adā meñ aa.e
qissa-e-dard-e-vafā saut-o-sadā meñ aa.e
Ghazal
ain-mumkin hai kisi tarz-e-ada mein aae
dard kā jab tak mazā hāsil na thā
dil kahe jaane ke qābil dil na thā
Ghazal
dard ka jab tak maza hasil na tha
zindagī mehrbāñ nahīñ to phir
maut kyuuñ dard-āshnā hogī
Nazm
jalti raat sulagte sae
taḌap ke dard se fariyād ko jo lab khole
sitam shi.ār zamāne pe ye garāñ guzrā
Ghazal
gham-e-hayat gham-e-dil nishat-e-jaan guzra
zaḳhm patta patta hai dard Daalī Daalī hai
ai mire chaman āḳhir kaun terā maalī hai
Ghazal
ye ata bhi hai saqi wah kya nirali hai
jī aa rahā dīda-e-tar meñ mujhe dam lene kī taab nahīñ
zo.af ek taraf dard ek taraf aur kāhish-e-tāqat ek taraf
Ghazal
ghar yar ka humse dur paDa gai humse rahat ek taraf
zindagī roz nayā dard sunātī hai magar
apne aañsū kabhī chhūne nahīñ detī mujh ko
Ghazal
KHushk daman pe barasne nahin deti mujhko
dushvāriyoñ ko ishq ne āsāñ banā diyā
ġham ko surūr dard ko darmāñ banā diyā
Ghazal
ab dil ko humne banda-e-jaanan bana diya
rifāqat ahl-e-ġham kī ik nashāt-e-muḳhtalif hai
jo rakhte ho jigar meñ dard kā ghaao to aao
Ghazal
subut-e-ishtiyaq-e-ham-rahi lao to aao
lab sī ke mire tū ne diye faisle saare
ik baar to bedard sunā chāhiye mujh ko
Ghazal
darwaza tere shahr ka wa chahiye mujhko
siyah kiye haiñ varaq maiñ ne is tavaqqo.a par
kabhī to hogī mire dard kī pazīrā.ī
Ghazal
kuchh aisi TuT ke shahr-e-junun ki yaad aai
sameT kar mujhe rakh le ki terā dard huuñ maiñ
tirā hī aib huuñ mujh ko chhupā ke ghar le jā
Ghazal
sag-e-jamal hun gardan se bandh kar le ja
shiddat-e-dard-e-jigar ho ye zarūrī to nahīñ
aur phir aañkh bhī tar ho ye zarūrī to nahīñ
Ghazal
shiddat-e-dard-e-jigar ho ye zaruri to nahin
dard ko aañkh banāyā hai to phir jā ke kahīñ
dil pe likkhī huī tahrīr nazar nazar aa.ī hai
Ghazal
aaj kis KHwab ki tabir nazar aai hai
maiñ ne jitne bhī savāloñ meñ use dekhā hai
zindagī dard kī tasvīr nazar aa.ī hai
Ghazal
aaj kis KHwab ki tabir nazar aai hai
apnī hī zaat ke mahbas meñ samāne se uThā
dard ehsās kā siine meñ dabāne se uThā
Sher
apni hi zat ke mahbas mein samane se uTha
kitne ḳhvāb sameTe koī kitne dard kamā.egā
paimāne kī had hotī hai āḳhir bhar hī jā.egā
Ghazal
kitne KHwab sameTe koi kitne dard kamaega
amiir imaam mubārak ho fat.h-e-ishq tumheñ
ye dard-e-māl-e-ġhanīmat hai sab tumhārā huā
Ghazal
ab is jahan-e-barhana ka istiara hua
phir aaj mere dard ne mujh ko manā liyā
koī kisī aziiz se kab tak ḳhafā rahe
Ghazal
hum zindagi-shanas the sab se juda rahe

Top Urdushayar.com