Tags-Dil

ye kaisī dilkashī hai yahāñ kaun aa gayā
kaisī ye raushnī sī mire ās-pās hai
Ghazal
sahma hai aasman zamin bhi udas hai
Duub kar dil meñ ubhartī hai koī mauj-e-ḳhayāl
abr chhāyā hai kabhī barq sī lahrā.ī hai
Ghazal
jis ko dekho wahi aawara-o-saudai hai
giit ke ruup meñ pāband bahāroñ kī fazā
chaman-e-dil meñ mire aur nikhar aa.ī hai
Ghazal
jis ko dekho wahi aawara-o-saudai hai
lazzat-e-ishq se bharpūr ġham-e-dil kī sadā
parda-e-shab meñ ka.ī chāñd uḌā laa.ī hai
Ghazal
jis ko dekho wahi aawara-o-saudai hai
maqām-e-zabt hai ai dil sambhalnā
judā.ī kī ghaḌī sar par khaḌī hai
Ghazal
karun kya saKHt mushkil aa paDi hai
ka.ī din se barahna mere dil meñ
ta.alluq kī koī mayyat paḌī hai
Ghazal
karun kya saKHt mushkil aa paDi hai
jī jaa.e magar na vo parī jaa.e
yārab na hamārī dil-lagī jaa.e
Ghazal
ji jae magar na wo pari jae
dil hijr meñ jaa.e yā ki jī jaa.e
jis kā jī chāhe vo abhī jaa.e
Ghazal
ji jae magar na wo pari jae
is gil kā na vasl ho na jī jaa.e
kyūñki mere dil kī be-kalī jaa.e
Ghazal
ji jae magar na wo pari jae
vo hai apnā ye jatānā bhī nahīñ chāhte ham
dil ko ab aur dukhānā bhī nahīñ chāhte ham
Ghazal
wo hai apna ye jatana bhi nahin chahte hum
aarzū hai ki vo har baat ko ḳhud hī samjhe
dil meñ kyā kyā hai dikhānā bhī nahīñ chāhte ham
Ghazal
wo hai apna ye jatana bhi nahin chahte hum
maiñ apne dil kī tarah aa.ina banā huā huuñ
so hairatoñ ke liye mas.ala banā huā huuñ
Ghazal
main apne dil ki tarah aaina bana hua hun
ḳhudā hī jaane 'yagānā' maiñ kaun huuñ kyā huuñ
ḳhud apnī zaat pe shak dil meñ aa.e haiñ kyā kyā
Sher
KHuda hi jaane yagana main kaun hun kya hun
tujh se ḳhudā hī samjhe tū ne kisī ko ai dil
mujh se bhī kuchh ziyāda dīvāna kar diyā hai
Ghazal
ehsas-e-ashiqi ne begana kar diya hai
jab dil meñ aa gayā hai ik jumbish-e-nazar ne
dīvāna kah diyā dīvāna kar diyā hai
Ghazal
ehsas-e-ashiqi ne begana kar diya hai
rakhte haiñ apne ḳhvāboñ ko ab tak aziiz ham
hālāñki is meñ ho ga.e dil ke marīz ham
Ghazal
rakhte hain apne KHwabon ko ab tak aziz hum
us ke bayān se hue har-dil-azīz ham
ġham ko samajh rahe the chhupāne kī chiiz ham
Ghazal
rakhte hain apne KHwabon ko ab tak aziz hum
mire zaḳhm-e-dil kā muqaddar to dekho
nigāhoñ se Tāñke diye jā rahe haiñ
Ghazal
wo hans hans ke wade kiye ja rahe hain
vahm-e-nazāra meñ hai āfiyat-e-dīda-o-dil
bhuul kar bhī na kabhī parda-e-asrār uThā
Ghazal
jab achanak mere pahlu se mera yar uTha
duur tak phailā huā dasht-e-balā hai bāhar
apnī mahfil se na mujh ko mire dildār uThā
Ghazal
jab achanak mere pahlu se mera yar uTha

Top Urdushayar.com