Tags-Dost

bārish-e-sañg kā mausam hai mire shahr meñ to
tū ye shīshe sā badan le ke kahāñ aa ga.ī dost
Ghazal
tujhse mil kar to ye lagta hai ki ai ajnabi dost
kabhī narmī kabhī saḳhtī kabhī uljhan kabhī Dar
vaqt ai dost bahar-hāl guzar jaatā hai
Qita
kabhi narmi kabhi saKHti kabhi uljhan kabhi Dar
nahīñ duniyā meñ sivā ḳhār-o-ḳhas-e-kūcha-e-dost
sar-e-shorīda kī ḳhvāhish ba-kulāhe gaahe
Ghazal
nahin duniya mein siwa Khaar-o-KHas-e-kucha-e-dost
'ābrū' kaun jā ke samjhāve
kyuuñ huā dost-dār kā dushman
Ghazal
ishq hai iKHtiyar ka dushman
utnī der sameTūñ saare dukh tere
jitnī der ai dost bikhar nahīñ jaatā maiñ
Ghazal
yun bhi jab tak gham se mar nahin jata main
detī hai tarġhīb naale kī ki har āzurda-dost
dushmanī kartī hai ab merī mohabbat mere saath
Ghazal
jab main roya hun wo roe hain ye ulfat mere sath
dost nārāz ho ga.e kitne
ik zarā aa.ina dikhāne meñ
Sher
dost naraaz ho gae kitne
dard-e-dil baḌhtā gayā hai jis qadar
chārā-jūī dost farmāte rahe
Ghazal
jaan-ba-lab tishna-dahan jate rahe
us kā iḳhlās musallam hai ḳhudā ḳhair kare
dost pahuñchā nahīñ 'tanvīr' sadā par merī
Ghazal
war bharpur kiya usne ana par meri
sach batā ishq mujhe saḳht pareshāñ huuñ maiñ
kyuuñ ḳhafā hotā nahīñ dost ḳhatā par merī
Ghazal
war bharpur kiya usne ana par meri
paanī se sag-gazīda Dare jis tarah 'asad'
Dartā huuñ aa.ine se ki mardum-gazīda huuñ
Unpublished Ghazal
نہ ہو حسن تماشا دوست رسوا بے وفائی کا
ai dost tirā shahr bhī hai shahr-e-tilismāt
chhūkar jise dekhā vahī patthar nazar aayā
Ghazal
ubhri na koi shakl na paikar nazar aaya
dhoke pe dhoka is tarah khāte chale ga.e
ham dushmanoñ ko dost banāte chale ga.e
Ghazal
dhoke pe dhoka is tarah khate chale gae
kuchh is liye bhī akelā sā ho gayā huuñ 'nadīm'
sabhī ko dost banāyā hai dushmanī nahīñ kī
Ghazal
tamam umr jale aur raushni nahin ki
dostī us kī dushmanī hī sahī
dost to ho vo mudda.ī hī sahī
Ghazal
dosti uski dushmani hi sahi
TuuTī kamand baḳht kā vo zor rah gayā
jab bām-e-dost haath se kuchh duur rah gayā
Sher
TuTi kamand baKHt ka wo zor rah gaya
ai dost tū ne vaar ye bharpūr kar diyā
pahle qarīb kar ke mujhe duur kar diyā
Ghazal
ai dost tu ne war ye bharpur kar diya
idhar ye girya-e-abr aur udhar vo ḳhanda-e-barq
mizāj-e-dahr mire dost tanziyātī hai
Ghazal
sada kuchh aisi mere gosh-e-dil mein aati hai
maiñ ḳhatāvār-e-mohabbat sahī lekin ai dost
zindagī aur nikhar aa.ī is ilzām ke baad
Ghazal
husn masum nahin ishq pe ilzam ke baad
zholīdgī na pūchh fazāoñ meñ ham-nashīñ
ḳhushbū-e-zulf-e-dost pareshāñ hai āj-kal
Ghazal
phir naghma-rez abr-e-bahaaran hai aaj-kal

Top Urdushayar.com