Tags-Duniya

duniyā kī īlā-billā Thasī paḌī hai mujh meñ
haañ kuchh kaam kī chīzeñ bhī haiñ is kabāḌ-ḳhāne meñ
Nazm
murda-KHana
bharī duniyā hai sisakne meñ jhijak hogī tumheñ
ye mirā dil hai idhar ro lo idhar koī nahīñ
Ghazal
panw ka dhyan to hai rah ka Dar koi nahin
aap kyā rokeñgi iz.hār-e-sadāqat se mujhe
aap ko duniyā kā Dar hai maiñ ḳhudā ke Dar meñ huuñ
Ghazal
in dinon main ghurbaton ki sham ke manzar mein hun
shahzād'-qamar dekh rahā hai vahī duniyā
ḳhānoñ meñ jahāñ ziist ne baT kar nahīñ dekhā
Ghazal
is dasht ki wusat mein simaT kar nahin dekha
tire qurbān 'bāsit' aur 'bāsit' kī har ik duniyā
bahār-e-vahshat-e-āshufta-hālāñ dekhne vaale
Ghazal
nahin ye jalwa-ha-e-raaz-e-irfan dekhne wale
ab pashīmān haiñ duniyā vaale
ḳhud hī maslūb kiyā thā mujh ko
Ghazal
wo to aaina-numa tha mujhko
rāsta roke hue kab se khaḌī hai duniyā
na idhar hotī hai zālim na udhar hotī hai
Ghazal
akasr is tarah se bhi raat basar hoti hai
marġhūb ho gar tum ko umūmī shābāsh
har tarah karo daulat-e-duniyā kī talāsh
Rubaai
marghub ho gar tumko umumi shabash
dushvār bahut ye manzil thī mar miT ke tah-e-turbat pahuñche
har qaid se ham āzād hue duniyā se alag ab rahnā hai
Ghazal
mayus-e-azal hun ye mana nakaam-e-tamanna rahna hai
qātil hai jo merā vahī apnā sā lage hai
duniyā se judā ho ke vo duniyā sā lage hai
Ghazal
qatil hai jo mera wahi apna sa lage hai
ai duniyā tere raste se haT jā.eñge
āḳhir ham bhī apne sāmne DaT jā.eñge
Ghazal
ai duniya tere raste se haT jaenge
kī hai zāhid ne aap duniyā tark
yā muqaddar meñ us ke thī hī nahīñ
Ghazal
kabhi taqsir jis ne ki hi nahin
baḳhshish hai terī haath meñ duniyā liye hue
maiñ chup khaḌā huuñ dīda-e-bīnā liye hue
Ghazal
baKHshish hai teri hath mein duniya liye hue
duniyā kā rañj hai na to uqbā kī fikr hai
yuuñ be-niyāz ho ga.e donoñ-jahāñ se ham
Ghazal
taqdir se karen ki gila baghban se hum
shab-e-visāl tire dil ke saath lag kar bhī
mirī luTī huī duniyā tujhe pukārtī hai
Ghazal
jahan nigar-e-sahar pairahan utarti hai
yahī bahut hai kisī tarah se bharam hī rah jaa.e pesh duniyā
agar mayassar nahīñ hai baada ḳhayāl-e-bāda bhī kam nahīñ hai
Ghazal
kabhi na aasuda-e-amal ho magar irada bhi kam nahin hai
jab se kholī hai aañkh duniyā meñ
ek hī dhun savār rahtī hai
Nazm
dhun
yahī dekhā hai 'shāhid' tīsrī duniyā ke mulkoñ meñ
ki akasr qaum patlī aur leader fat hotā hai
Ghazal
wahi maqbul leader aur diplomat hota hai
hazāroñ zulm hoñ mazlūm par to chup rahe duniyā
agar mazlūm kuchh bole to dahshat-gard kahtī hai
Sher
hazaron zulm hon mazlum par to chup rahe duniya

Top Urdushayar.com