Tags-Gham

kyūñ-kar na rahe ġham-e-nihānī terā
duniyā meñ batā kaun hai saanī terā
Rubaai
kyun-kar na rahe gham-e-nihani tera
ġham sahte haiñ par ġhamza-e-bejā nahīñ uThtā
marte haiñ magar nāz-e-masīhā nahīñ uThtā
Ghazal
gham sahte hain par ghamza-e-beja nahin uThta
masarratoñ ne to chāhā thā dil meñ aa jaa.eñ
hujūm-e-ġham ne magar un ko rāsta na diyā
Sher
masarraton ne to chaha tha dil mein aa jaen
shab-e-firāq kuchh aisā ḳhayāl-e-yār rahā
ki raat bhar dil-e-ġham-dīda be-qarār rahā
Sher
shab-e-firaq kuchh aisa KHayal-e-yar raha
bazm-e-yārāñ hai ye saaqī mai nahīñ to ġham na kar
kitne haiñ jo mai-kada bar-dosh haiñ yāroñ ke biich
Sher
bazm-e-yaran hai ye saqi mai nahin to gham na kar
jab zamāne kā ġham uThā na sake
ham hī ḳhud uTh ga.e zamāne se
Sher
jab zamane ka gham uTha na sake
laraz laraz ke na TūTeñ to vo sitāre kyā
jinheñ na hosh ho ġham kā vo ġham ke maare kyā
Ghazal
laraz laraz ke na TuTen to wo sitare kya
tirī yādoñ kī ḳhushbū khiḌkiyoñ meñ raqs kartī hai
tire ġham meñ sulagtā huuñ to āñkheñ bhiig jaatī haiñ
Ghazal
samundar mein utarta hun to aankhen bhig jati hain
tū bhī is ġham-kada-e-dahr meñ aa kar 'mohsin'
bū-e-gul kī tarah āvāra-e-hairān huā
Ghazal
is kaDi dhup ke sannaTe mein hairan hua
roz-e-avval se haiñ ham soḳhta-dil kushta-e-ġham
aaj jaise haiñ yūñhī sho.ala-ba-jāñ the pahle
Ghazal
yun to yusuf se hasin aur jawan the pahle
ham ahl-e-zarf ki ġham-ḳhāna-e-hunar meñ rahe
sifāl-e-nam kī tarah dast-e-kūza-gar meñ rahe
Ghazal
hum ahl-e-zarf ki gham-KHana-e-hunar mein rahe
is kā ġham hai ki mujhe vahm huā hai shāyad
koī pahlū meñ mire jaag rahā hai shāyad
Ghazal
is ka gham hai ki mujhe wahm hua hai shayad
tujhe paane kī koshish meñ kuchh itnā kho chukā huuñ maiñ
ki tū mil bhī agar jaa.e to ab milne kā ġham hogā
Sher
tujhe pane ki koshish mein kuchh itna kho chuka hun main
koī to dil kī nigāhoñ se dekhtā jaa.e
hamārī ruuh ke kuchh ġham sameTtā jaa.e
Ghazal
koi to dil ki nigahon se dekhta jae
dil meñ kisī ke ġham kī kamāneñ tanī raheñ
chehra magar ba-hālat-e-shādāb chāhiye
Ghazal
is zindagi mein kuchh to tab-o-tab chahiye
un se kah kar bhī dekh leñ ġham-e-dil
'saif' ye kaam bhī nipaT jaa.e
Ghazal
ruKH pe yun jhum kar wo laT jae
ishq ab mel se be-mel huā jaatā hai
merā ġham un ke liye khel huā jaatā hai
Nazm
ishq ab mel se be-mel hua jata hai
ḳhandgī ḳhush lab tabassum misl-e-armāñ ho ga.e
ahd-e-be-ġham juuñ hī aayā ham pareshāñ ho ga.e
Ghazal
KHandgi KHush lab tabassum misl-e-arman ho gae
yahī bahut hai ki zinda to ho miyāñ-sāhab
zamāna sun ke mire ġham kī dāstāñ bolā
Ghazal
baDe adab se ghurur-e-sitam-garan bola

Top Urdushayar.com