Tags-Ghar

maiñ ne kahā ki ghar chalegī mere saath aaj
kahne lagī ki ham suuñ na kar baat tū burī
Sher
maine kaha ki ghar chalegi mere sath aaj
ghar se nikle the ki ā.īna dikhā.eñ sab ko
lekin har aks meñ apnā hī sarāpā niklā
Ghazal
DhunDte DhunDte KHud ko main kahan ja nikla
is ghar meñ koī chiiz kisī aur kī nahīñ
ye phuul ye charāġh fasānā usī kā hai
Ghazal
aana usi ka bazm se jaana usi ka hai
mere marne se ġham-e-ishq na mar jā.egā
mujh ko chhoḌegā to ġham-ḳhvār ke ghar pahuñchegā
Ghazal
rutba-e-dard ko jab apna hunar pahunchega
jo apne ghar ko ka.aba mānte haiñ
pas-e-dīvār phir kyuuñ jhāñkte haiñ
Ghazal
jo apne ghar ko kaba mante hain
chiḌiyāñ kab ā.ankhoñ se bāteñ kartī haiñ
sub.h huī ghar kā sannāTā TuuT gayā
Ghazal
mera aur phulon ka rishta TuT gaya
ḳhayālī dostoñ ke aks se kheloge kab tak
mere bachche kabhī mil lo bhare ghar meñ kisī se
Sher
KHayali doston ke aks se kheloge kab tak
ḳhair se ġhair ke ghar roz haiñ aate jaate
aur qasmeñ bhī mire sar kī haiñ khāte jaate
Ghazal
kuchh na kuchh ranj wo de jate hain aate jate
bole hasan ki vaah hameñ aur kareñ na pyaar
iqrār ke chuke haiñ shahanshāh-e-nām-dār
Marsiya
kya ghaziyan-e-fauj-e-KHuda nam kar gae
lamhoñ kā pathrāv hai mujh par sadiyoñ kī yalġhār
maiñ ghar jaltā chhoḌ aayā huuñ dariyā ke us paar
Ghazal
lamhon ka pathraw hai mujh par sadiyon ki yalghaar
ham quvvat-e-jazb-e-dil dikhā.eñ
aur phir vo hamāre ghar na aa.eñ
Ghazal
hum quwwat-e-jazb-e-dil dikhaen
ravāñ-davāñ hai zindagī charāġh ke baġhair bhī
hai mere ghar meñ raushnī charāġh ke baġhair bhī
Ghazal
rawan-dawan hai zindagi charagh ke baghair bhi
dekhte dekhte ik ghar ke rahne vaale
apne apne ḳhānoñ meñ baT jaate haiñ
Sher
dekhte dekhte ek ghar ke rahne wale
jaise us kā kabhī ye ghar hī na thā
dil meñ barsoñ ḳhushī nahīñ aatī
Sher
jaise us ka kabhi ye ghar hi na tha
hamāre ghar kī jo dushman banī huī hai abhī
chale havā to pareshāñ yahī ghaTā ho jaa.e
Ghazal
agar KHud apne maraatib se aashna ho jae
dil hī jalne do shab-e-ġham jo nahīñ koī charāġh
kuchh ujālā to rahe ghar meñ sahar hone tak
Ghazal
zulmat-e-shab se ulajhna hai sahar hone tak
ḳhudā kā ghar bhī hai dil meñ butoñ kī chaah bhī hai
sanam-kada bhī hai dil apnā ḳhānqāh bhī hai
Ghazal
bata tu dil ke bachane ki koi rah bhi hai
rashk-e-sahrā hai ghar kī vīrānī
yahī rañg-e-bahār hai apnā
Ghazal
dida-e-ashk-bar hai apna
manziloñ ke fāsle dīvār-o-dar meñ rah ga.e
kyā safar thā mere saare ḳhvāb ghar meñ rah ga.e
Ghazal
manzilon ke fasle diwar-o-dar mein rah gae
jitne manzar the mire ham-rāh ghar tak aa.e haiñ
aur pas-e-manzar savād-e-rah-guzar meñ rah ga.e
Ghazal
manzilon ke fasle diwar-o-dar mein rah gae

Top Urdushayar.com