Tags-Ghar

koī manzil na milī paañv jo ghar se niklā
phir safar pesh thā jab gard-e-safar se niklā
Ghazal
ek junun kahiye use jo mere sar se nikla
bhiiḌ ke ḳhauf se phir ghar kī taraf lauT aayā
ghar se jab shahr meñ tanhā.ī ke Dar se niklā
Ghazal
ek junun kahiye use jo mere sar se nikla
dars de kar hameñ ujāle kā
ḳhud añdhere ke ghar gayā sūraj
Ghazal
mere dil mein utar gaya suraj
dhuup kisī bhī ghar jaa.e
mere āñgan meñ pīpal
Ghazal
jalna ho to mujhse jal
aag lagī hai tan-man meñ
ab to aise ghar se nikal
Ghazal
jalna ho to mujhse jal
ye maiñ nahīñ huuñ jo shāmoñ ko ghar meñ aatā huuñ
kahīñ se ḳhud sā koī roz DhūñDh laatā huuñ
Ghazal
ye main nahin hun jo shamon ko ghar mein aata hun
bahut ḳhilāf thī āñkheñ bahut udaas thā din
ḳhud apne ghar meñ nazārā sā ho gayā thā maiñ
Ghazal
zamin pe rah ke sitara sa ho gaya tha main
baiThe-biThā.e ho ga.ī ghar meñ mār-kaTā.ī chaar baje
mere buzurgoñ ne mujh ko tahzīb sikhā.ī chaar baje
Nazm
chaar baje
aaj kuchh rañg digar hai mire ghar kā 'ḳhālid'
sochtā huuñ ye tirī yaad hai yā ḳhud tū hai
Sher
aaj kuchh rang digar hai mere ghar ka Khaalid
ghar se nikal kar jaatā huuñ maiñ roz kahāñ
ik din apnā pīchhā kar ke dekhā jaa.e
Ghazal
aaine se parda kar ke dekha jae
mere ghar vo aa.egā aaj ghar sajānā hai
is taraf kī chīzoñ ko us taraf lagānā hai
Ghazal
ek taraf talab teri ek taraf zamana hai
ghar se bāhar pheñktā dekhūñ
apne ghar vāloñ kā fuzla
Nazm
KHwab-e-haqiqat
Thaharnā hogā kyā usī ghar meñ
aañkh meñ niiñd kī parī soche
Ghazal
sochna hai to phir khari soche
bām-o-dar par nazar aate haiñ thakan ke āsār
apnā ye bojh kisī dūsre ghar meñ le jā.ūñ
Ghazal
zehn mein ho koi manzil to nazar mein le jaun
basīt-e-dasht kī hurmat ko bām-o-dar de de
mire ḳhudāyā mujhe bhī to ek ghar de de
Sher
basit-e-dasht ki hurmat ko baam-o-dar de de
mere ghar kī dīvāroñ par barbādī kā qabza hai
terī galī ko jaane vaalā har rasta ābād rahe
Ghazal
meri bala se sari duniya ujDe ya aabaad rahe
iiñT aur patthar miTTī gaare ke mazbūt makānoñ meñ
pakkī dīvāroñ ke pīchhe har ghar kachchā lagtā hai
Ghazal
sab kuchh jhuT hai lekin phir bhi bilkul sachcha lagta hai
sirf yādoñ se ghar nahīñ bantā
terā honā bahut zarūrī hai
Ghazal
dil ka khona bahut zaruri hai
shaam aa.e aur ghar ke liye dil machal uThe
shaam aa.e aur dil ke liye koī ghar na ho
Sher
sham aae aur ghar ke liye dil machal uThe
ghar meñ ḳhud ko qaid to maiñ ne aaj kiyā hai
tab bhī tanhā thā jab mahfil mahfil thā maiñ
Ghazal
kahin na tha wo dariya jis ka sahil tha main

Top Urdushayar.com