Tags-Hijr

yuuñ guzarte haiñ tire hijr meñ din-rāt mire
jaan pe jaise kisī shaḳhs ke ban aa.ī ho
Ghazal
aisi uljhan ho kabhi aisi bhi ruswai ho
vasl meñ suukh ga.ī hai mirī sochoñ kī zamīñ
hijr aa.e to mirī soch ko shādāb kare
Sher
wasl mein sukh gai hai meri sochon ki zamin
na.e visāl kī ḳhātir guzāro iddat-e-hijr
aur apne dil ko dobāra kañvārā kar ke laao
Ghazal
yahi hisab-e-mohabbat dobara kar ke lao
jalte gulāb meñ na zarā sī bhī aañch thī
ham to jale haiñ hijr kī ThanDī ḳhizāoñ meñ
Ghazal
insan hun ghir gaya hun zamin ke KHudaon mein
dard ko gurda taḌapne ko jigar
hijr meñ sab haiñ magar dil to nahīñ
Ghazal
munkir-e-but hai ye jahil to nahin
milā to shaam ke saa.e meñ ek pal vo bhī
bas ek hijr kī sūrat visāl thā us kā
Ghazal
baras gaya jo badan par jamal tha us ka
hijr aur hijrat ko oḌh kar bhī dekhā hai
saañs tak na chaltī thī sardiyoñ kī shāmoñ meñ
Ghazal
aanch to diye ki thi sardiyon ki shamon mein
tum raushan kar rakkho jitne hijr alaav mumkin hoñ
maiñ ne bhī apnī āñkhoñ ke pīchhe dariyā rakkhā hai
Ghazal
ruh sulagti rakkhi hai aur sina jalta rakkha hai
ham ne pahnī hai qabā hijr-e-musalsal vaalī
us kā āñchal hai muqaddar ke sitāre vaalā
Ghazal
gham bhala kaise khule us pe hamare wala
abhī se tujh ko paḌī hai visāl kī mirī jaañ
abhī to hijr ne unvān hī nahīñ paayā
Sher
abhi se tujhko paDi hai visal ki meri jaan
us hijr pe tohmat ki jise vasl kī zid ho
us dard pe la.anat kī jo ash.ār meñ aa jaa.e
Sher
us hijr pe tohmat ki jise wasl ki zid ho
hijr meñ tere mujh pe kyā guzrī
aaj tak pūchhne na tū aayā
Ghazal
kaam kuchh to mera lahu aaya
phir ḳhaak maza detā barastā huā sāvan
is rut meñ agar hijr kā āzār na hotā
Ghazal
ye ishq agar aisa pur-asrar na hota
ham se na pūchho hijr ke qisse
apnī kaho ab tum kaise ho
Ghazal
itni muddat baad mile ho
ye tīrgī-e-shab-e-vasl mujh se kahtī hai
charāġh-e-hijr ke bujhne kā hai malāl bahut
Ghazal
nazar jo aate hain auron ko KHasta-haal bahut
na.ara-zan ra.ad ke mānind ġham-e-hijr se huuñ
sifat-e-'barq' taḌapne kī hai aadat merī
Ghazal
su-e-sahra hi mujhe le gai wahshat meri
hijr meñ hālat-e-dil kaise sambhal pā.egī
rāh-e-dushvār se yādoñ kā guzar hone tak
Ghazal
shahr-e-tarik ko sapnon ka nagar hone tak
aks jamāl-e-yār kā ā.ina-e-ḳhudī meñ hai
ye ġham-e-hijr kyā diyā mujh se mujhe chhupā diyā
Ghazal
husn ko wusaten jo din ishq ko hausla diya
zard-rū haiñ varaq ḳhayāloñ ke
ai shab-e-hijr kuchh syāhī de
Ghazal
jurm-e-ummid ki saza hi de
ek ik pal meñ utartā rahā sadiyoñ kā azaab
hijr kī raat guzārī hai ki mahshar dekhā
Ghazal
hum jo pahunche sar-e-maqtal to ye manzar dekha

Top Urdushayar.com