Tags-Ibaadat

tavāf-e-ka.aba-e-dil kar niyāz-o-ḳhāksārī siiñ
vazū darkār na.iiñ kuchh is ibādat meñ tayammum kar
Sher
tawaf-e-kaba-e-dil kar niyaz-o-KHaksari sin
mirā zauq-e-parastish hai judā saare zamāne se
mohabbat kartā jaatā huuñ ibādat hotī jaatī hai
Ghazal
nigah-e-shauq waqf-e-husn-e-fitrat hoti jati hai
jis tarah dhuup kā rañgat pe asar paḌtā hai
nafs kā vaise ibādat pe asar paḌtā hai
Ghazal
jis tarah dhup ka rangat pe asar paDta hai
tere bandoñ kī bandagī kī hai
ye ibādat nahīñ ibādat kyā
Ghazal
uTh chale wo to isMein hairat kya
maqsūd ibādat hai faqat diid nahīñ hai
ham pūjte haiñ aap ko dekhā nahīñ karte
Ghazal
hum aankhon se bhi arz-e-tamanna nahin karte
use dekh kar hī merā kaam chaltā
mujhe ab ibādat zarūrī nahīñ hai
Ghazal
ki jis mein mohabbat zaruri nahin hai
ki jis meñ mohabbat zarūrī nahīñ hai
mujhe vo ibādat zarūrī nahīñ hai
Ghazal
ki jis mein mohabbat zaruri nahin hai
hai gunah bhī yahī ibādat bhī
āqibat ke hisāb jaisā ishq
Ghazal
ek purani sharab jaisa ishq
abas hai ibādat abas is kā taqvā
agar ādamiyat nahīñ aadmī meñ
Ghazal
na kar pae dushman bhi jo dushmani mein
terī yādeñ mirī ibādat haiñ
sochtī huuñ tujhe vuzū kar ke
Ghazal
ek suraj ko suraKH-ru kar ke
piirī meñ to ye sab bāteñ zāhid achchhī lagtī haiñ
zikr-e-ibādat bharī javānī meñ jaise be-vaqt kā raag
Ghazal
ek daman mein phul bhare hain ek daman mein aag hi aag
ik ibādat se kahāñ kam hai mohabbat merī
tujh ko aayat kī tarah yaad kiyā hai maiñ ne
Ghazal
KHud ko majnun kabhi farhad kiya hai maine
haiñ naḳhvatoñ ke bhī kāñTe gul-e-ibādat meñ
ġhurūr-o-kibr kā phal shāḳh-e-pārsā.ī de
Ghazal
tere sitam ka bahut ghalghala sunai de
dosto zindagī amānat hai
saañs lenā bhī ik ibādat hai
Ghazal
dosto zindagi amanat hai
har ek sajde meñ dil ko tirā ḳhayāl aayā
ye ik gunāh ibādat meñ baar baar huā
Ghazal
junun mein daman-e-dil garche tar tar hua
jiinā bhī ibādat use piinā bhī ibādat
hāsil ho jise chashm-e-siyah-mast kī tā.īd
Ghazal
lai teri mahfil mein mujhe aarzu-e-did
tum ko ma.alūm ho ai shaiḳh-o-barahman to kaho
aur bhī koī ibādat hai mohabbat ke sivā
Ghazal
lutf hi lutf hai jo kuchh hai inayat ke siwa
maiñ ne namāz chhoḌ ke ik jaañ bachā.ī hai
ma.abūd-e-lam-yazal ye ibādat qubūl kar
Ghazal
ek sanwle badan se mohabbat qubul kar
kahāñ tum bhī ibādat kar rahe ho
agar maiñ duniyā-dārī kar rahā huuñ
Ghazal
junun ki aabiyari kar raha hun
sach hai kisī sanam kī ibādat gunāh hai
phir bhī hasīñ gunāh kiye jā rahā huuñ maiñ
Ghazal
dil ko tere KHayal se bahla raha hun main

Top Urdushayar.com