Tags-Ishq

ishq meñ naam kamā.egā to chhā jā.egā
tū kabhī dasht meñ aa.egā to chhā jā.egā
Ghazal
ishq mein nam kamaega to chha jaega
bahut pahuñche to un ke kākul-o-ruḳhsār tak pahuñche
magar āshiq na ab tak ishq ke me.aar tak pahuñche
Ghazal
bahut pahunche to un ke kakul-o-ruKHsar tak pahunche
ishq meñ donoñ jahāñ apne hī kahlāte haiñ
baat phir mere tumhāre se guzar jaatī hai
Ghazal
sham yun dal ke kinare se guzar jati hai
mujhe iz.hār-e-ulfat par ye un se daad miltī hai
tumhārā ishq ik din merī zillat kā sabab hogā
Ghazal
kisi be-dard ko zulm-o-sitam ka shauq jab hoga
ham jo karte haiñ ishq piirī meñ
ḳhūb-rū baar baar hañste haiñ
Ghazal
ye jo gul-ru nigar hanste hain
phir hue haiñ gavāh-e-ishq talab
ashk-bārī kā hukm-jārī hai
Ghazal
phir kuchh ek dil ko be-qarari hai
nā-sazā hai is ke jalvoñ kī nazākat ke liye
vo ġham-e-hāsil jo tere ishq ke hāsil meñ hai
Ghazal
aankh mein aansu hain ehsas-e-masarrat dil mein hai
hai ishq naam merā dil hai maqām merā
is ke sivā jahāñ meñ merā patā nahīñ hai
Ghazal
andaz wo nahin hai ab wo ada nahin hai
kaun maslūb huā husn kā kirdār ki ham
shohrat-e-ishq meñ badnām huā yaar ki ham
Sher
kaun maslub hua husn ka kirdar ki hum
kuchh zindagī meñ ishq-o-vafā kā hunar bhī rakh
rishta ḳhushī se joḌ ġham-e-mo'tabar meñ rakh
Ghazal
kuchh zindagi mein ishq-o-wafa ka hunar bhi rakh
ishq ko ek umr chāhiye aur
umr kā koī e'tibār nahīñ
Sher
ishq ko ek umr chahiye aur
ai ishq kyā tū ne gharānoñ ko tabāh
pīroñ ko ḳharif aur javānoñ ko tabāh
Rubaai
ishq
saudā-e-ishq ke to ḳhatā-vār ham nahīñ
haiñ ishq ke marīz gunahgār ham nahīñ
Ghazal
sauda-e-ishq ke to KHata-war hum nahin
ishq ab merī jaan hai goyā
jaan ab mehmān hai goyā
Ghazal
ishq ab meri jaan hai goya
kis ko is daur meñ hai fursat-e-ishq-e-ḳhūbāñ
aag tere lab o ruḳhsār ne barsā.ī hai
Ghazal
zindagi aaina hai aaina-arai hai
maiñ taḳht-e-ishq pe faa.ez thā jāntā thā kahāñ
ki ek din mirā taḳhta ulaTne vaalā thā
Ghazal
wo ek lamha ki mushkil se kaTne wala tha
ik aur ishq mujhe kah rahā thā aa 'ahmad'
ik aur hijr mirī ghaat meñ dikhā.ī diyā
Ghazal
charagh taq-e-tilismat mein dikhai diya
Duub jā ishq ke samundar meñ
dekh phir kaun saath hai pyāre
Ghazal
maut se kab najat hai pyare
rafta rafta vaqt ke marham se bhar hī jā.eñge
ishq ne jo zaḳhm baḳhshe haiñ abhī taaze bahut
Ghazal
aa gaya hai waqt ab bhugtoge KHamiyaze bahut

Top Urdushayar.com