Tags-Ishq

bahte dariyā ko bhī ye kaa.ī kahāñ chhoḌtī hai
ishq ho jaa.e to rusvā.ī kahāñ chhoḌtī hai
Ghazal
bahte dariya ko bhi ye kai kahan chhoDti hai
ishq se kī ye dil-e-ḳhālī ne bhar jaane meñ dhuum
Daale jyuuñ kam-zarf mai ke ek do paimāne meñ dhuum
Ghazal
ishq se ki ye dil-e-Khaali ne bhar jaane mein dhum
tere ishq kā bojh uThā kar zinda huuñ maiñ
ya.anī terā ġham bhī uThāyā jā saktā hai
Sher
tere ishq ka bojh uTha kar zinda hun main
burā hai ishq kā āzār yaaro
ye aksar vaqt aḌ jaatā hai mujh se
Ghazal
tu baaton mein bigaD jata hai mujhse
husn-e-muḳhtār hai har baat ravā hai is ko
fitrat-e-ishq to pāband-e-vafā Thahrī hai
Ghazal
nikhat-o-rang na mausam ki hawa Thahri hai
mire sarkash tarāne sun ke duniyā ye samajhtī hai
ki shāyad mere dil ko ishq ke naġhmoñ se nafrat hai
Nazm
mere git
laal kurtā hai ishq āshiq ko
aag meñ jaise surḳh ho kañDā
Ghazal
kal to khele tha wo gilli DanDa
apne mar-miTne ke asbāb bahut dekhtā huuñ
ishq vaalā huuñ tire ḳhvāb bahut dekhtā huuñ
Ghazal
apne mar-miTne ke asbab bahut dekhta hun
tilism-e-ishq thā sab us kā saath hone tak
ḳhayāl-e-dard na aayā najāt hone tak
Ghazal
tilism-e-ishq tha sab us ka sath hone tak
vo is kamāl se khelā thā ishq kī baazī
maiñ apnī fat.h samajhtā thā maat hone tak
Ghazal
tilism-e-ishq tha sab us ka sath hone tak
junūn-e-ishq meñ sad-chāk honā paḌtā hai
is intihā ke liye ḳhaak honā paḌtā hai
Ghazal
junun-e-ishq mein sad-chaak hona paDta hai
ai zabt dekh ishq kī un ko ḳhabar na ho
dil meñ hazār dard uThe aañkh tar na ho
Ghazal
ai zabt dekh ishq ki un ko KHabar na ho
ḳhār-zār-e-ishq ko kyā ho gayā
paañv meñ kāñTe chubhotā hī nahīñ
Sher
Khaar-zar-e-ishq ko kya ho gaya
sab kuchh kho kar mauj uḌānā ishq meñ sīkhā
ham ne kyā kyā tiir chalānā ishq meñ sīkhā
Ghazal
sab kuchh kho kar mauj uDana ishq mein sikha
riit ke aage priit nibhānā ishq meñ sīkhā
sādhū ban kar masjid jaanā ishq meñ sīkhā
Ghazal
sab kuchh kho kar mauj uDana ishq mein sikha
ishq se pahle tez havā kā ḳhauf bahut thā
tez havā meñ hañsnā gaanā ishq meñ sīkhā
Ghazal
sab kuchh kho kar mauj uDana ishq mein sikha
har ik sarhad phāñd chukā thā sarkash dariyā
us dariyā ko moḌ ke laanā ishq meñ sīkhā
Ghazal
sab kuchh kho kar mauj uDana ishq mein sikha
ishq kiyā to zulm huā aur zulm huā jab
zulm ke aage sar na jhukānā ishq meñ sīkhā
Ghazal
sab kuchh kho kar mauj uDana ishq mein sikha
apne dukh meñ ronā-dhonā aap hī aayā
ġhair ke dukh meñ ḳhud ko dukhānā ishq meñ sīkhā
Ghazal
sab kuchh kho kar mauj uDana ishq mein sikha
ishq kā jaadū kyā hotā hai ham se pūchho
dhuul meñ mil kar phuul khilānā ishq meñ sīkhā
Ghazal
sab kuchh kho kar mauj uDana ishq mein sikha

Top Urdushayar.com