Tags-Ishq

vo tap-e-ishq-e-tamannā hai ki phir sūrat-e-sham.a
sho.ala tā-nabz-e-jigar resha-davānī māñge
Ghazal
naqsh-e-naz-e-but-e-tannaz ba-aghosh-e-raqib
ho gayā sab lihāz adab be-bāq
ishq be-tāb husn hai bebāk
Ghazal
rind ki kaenat kya hai KHak
par mire ishq ke lag jaa.eñ dīvāna ho jā.ūñ
maiñ ne sochā thā ki ik dam se fasāna ho jā.ūñ
Ghazal
par mere ishq ke lag jaen diwana ho jaun
ishq vo ghar hai jis ke shāh-o-gadā
bā-adab chūmte rahe chaukhaT
Ghazal
sath ghairon ke hai sada gaT-paT
yaañ qadam raah par sivā.e na rakh
ai 'muhib' raah ishq kī hai bikaT
Ghazal
sath ghairon ke hai sada gaT-paT
raah meñ ġham-zada-e-ishq ko kyā Toko ho
apnī hālat meñ giraftār chalā jaatā hai
Sher
rah mein gham-zada-e-ishq ko kya Toko ho
dil par ho iḳhtiyār to hargiz na kariye ishq
parhez kariye is maraz-e-jāñ-gudāz se
Ghazal
aao kabhu to pas hamare bhi naz se
maane hoñ kyuuñ ki girya-e-ḳhūnīñ ke ishq meñ
hai rabt-e-ḳhās chashm ko ifshā-e-rāz se
Ghazal
aao kabhu to pas hamare bhi naz se
ishq ne mo.ajiza is tarah dikhāyā 'amjad'
husn ke haath se shamshīr-e-sharar-bāz girī
Ghazal
ek KHalish hai mere bahar meri dam-saz giri
bahe jaate the baiThe ishq ke zarrīñ safīne meñ
tamannāoñ kā tūfāñ karvaTeñ letā thā siine meñ
Nazm
tur
ham haiñ aur shuġhl-e-ishq-bāzī hai
kyā haqīqī hai kyā majāzī hai
Ghazal
hum hain aur shughl-e-ishq-bazi hai
ishq merī hī tamannā to nahīñ
terī niyyat bhī to bad hai, had hai
Ghazal
mujhse uncha tera qad hai, had hai
lāzim hai soz-e-ishq kā sho.ala ayaañ na ho
jal bujhiye is tarah se ki mutlaq dhuāñ na ho
Sher
lazim hai soz-e-ishq ka shoala ayan na ho
tumhāre ishq-e-abrū meñ hilāl-e-īd kī sūrat
hazāroñ uñgliyāñ uTThīñ jidhar se ho ke ham nikle
Sher
tumhaare ishq-e-abru mein hilal-e-id ki surat
vo āshiq hai magar merā nahīñ hai
ke us ke ishq meñ nuqta nahīñ hai
Ghazal
wo aashiq hai magar mera nahin hai
gir paḌtā huuñ aksar maiñ rah-e-ishq meñ jis jā
ik marhala hotā hai vo manzil nahīñ hotī
Ghazal
taufiq agar rahbar-e-manzil nahin hoti
ham ko sambhāltā koī kyā rāh-e-ishq meñ
khā khā ke Thokareñ hamīñ āḳhir sambhal ga.e
Sher
hum ko sambhaalta koi kya rah-e-ishq mein
ishq meñ sar phoḌnā bhī kyā ki ye be-mehr log
jū-e-ḳhūñ ko naam de dete haiñ jū-e-shīr kā
Ghazal
muntazir kab se tahayyur hai teri taqrir ka
zaḳhmoñ ke saath saath namak-pāshiyāñ bhī thiiñ
dekhā hai mere ishq ne ye silsila bahut
Ghazal
lamhon ne yun sameT liya fasla bahut
sukūñ-pasand jo dīvāngī mirī hotī
ḳhabar kisī ko na anjām ishq kī hotī
Qita
sukun-pasand jo diwangi meri hoti

Top Urdushayar.com