Tags-Jannat

jannat-nishān dhartī sonā ugal rahī hai
jañgal hare bhare haiñ fitrat machal rahī hai
Nazm
tiranga
gunāhgār ke dil se na bach ke chal zāhid
yahīñ kahīñ tirī jannat bhī paa.ī jaatī hai
Sher
gunahgar ke dil se na bach ke chal zahid
shaad kyā huuñ husūl-e-jannat par
ki rupa.e meñ se ek aanā milā
Ghazal
yun to milne ko ek zamana mila
bhar kar dam-e-naz.a ik dam-e-sard
jannat kī havā meñ so ga.e ham
Ghazal
paya jo tujhe to kho gae hum
umr-bhar ke sajdoñ se mil nahīñ sakī jannat
ḳhuld se nikalne ko ik gunāh kaafī hai
Ghazal
ek gali se KHushbu ki rasm-o-rah kafi hai
chalo sair kar aa.eñ jannat kī 'āshiq'
ajab kuchh tamāshā vahāñ ho rahā hai
Ghazal
sitam hai wo phir bad-guman ho raha hai
kab alag thī mirī duniyā se jo jannat chhoTī
koī apnā thā vahāñ aur na yahāñ haiñ apne
Ghazal
shahr apna hai magar log kahan hain apne
kis ne chādar dhueñ kī taanī hai
mere jannat-misāl manzar par
Ghazal
jab se ummid bandhi patthar par
bāteñ nāseh kī sunīñ yaar ke nazzāre kiye
āñkheñ jannat meñ rahīñ kaan jahannam meñ rahe
Sher
baaten naseh ki sunin yar ke nazzare kiye
hai taḳht to maujūd sulaimāñ kī kamī hai
jannat kā darīcha to hai rizvāñ kī kamī hai
Nazm
taj-mahal
jaane kyuuñ dozaḳh se bad-tar ho ga.e hālāt aaj
rashk-e-jannat kal talak hindostāñ merā bhī thā
Sher
jaane kyun dozaKH se bad-tar ho gae haalat aaj
mire ḳhvāboñ kī vo be-nām jannat
zamīn-o-āsmāñ ke darmiyāñ ho
Ghazal
agar kuchh etibar-e-jism-o-jaan ho
bhulā de arsh kī jannat kā ḳhvāb āñkhoñ ko
bahār-e-husn se yuuñ mālā-māl thā koī
Ghazal
sahar ki dhup sa nikhra jamal tha koi
rakhtā hai ibādat ke liye hasrat-e-jannat
zāhid kī ḳhudā saath mohabbat sababī hai
Sher
rakhta hai ibaadat ke liye hasrat-e-jannat
nafrat se mohabbat se aksar ham ne hī likhī taqdīr tirī
ham ne hī zamīn-e-gul tujh ko jannat bhī kiyā aur vīrāñ bhī
Ghazal
sarsabz ye jangal chahat ka wo dasht-e-wafa hai viran bhi
ham haiñ vo balā dost ki gulshan kā to kyā zikr
jannat bhī bajā.e qafas o daam na lete
Ghazal
kuchh bas hi na tha warna ye ilzam na lete
jannat mirī fikr kī hai me.arāj
dozaḳh se to maiñ guzar rahā huuñ
Ghazal
phir fikr-e-suKHan main kar raha hun
jannat-farosh hūroñ ke dallāl ḳhirqa-posh
kyā pūchhte ho vā.iz-e-farḳhanda-fāl kī
Ghazal
tashkil badar ki hai kabhi hai hilal ki
dozaḳh bhī kyā gumān hai jannat bhī hai fareb
in vasvasoñ meñ merī ibādat bhī hai fareb
Ghazal
dozaKH bhi kya guman hai jannat bhi hai fareb

Top Urdushayar.com