Tags-Judai

tujh ko mushkil hai to judā.ī kī
ibtidā maiñ karūñ ḳhudā-hāfiz
Ghazal
ai KHirad aur junun KHuda-hafiz
musāfirān-e-rah-e-shauq aur tez qadam
ki chand gaam hī ab manzil-e-judā.ī hai
Ghazal
zamin se ta-ba-falak dhund ki KHudai hai
kyā kahūñ kyā mirī hālat huī sun kar ye payām
kuchh tumheñ merī judā.ī kā bhī ġham hai ki nahīñ
Sher
kya kahun kya meri haalat hui sun kar ye payam
hai kaun shai jis kī zid nahīñ hai jahāñ ḳhushī hai malāl bhī hai
ġham-e-judā.ī na khā tū ai dil firāq hai to visāl bhī hai
Ghazal
hai kaun shai jis ki zid nahin hai jahan KHushi hai malal bhi hai
lamhe lamhe kī nā-rasā.ī hai
zindagī hālat-e-judā.ī hai
Ghazal
lamhe lamhe ki na-rasai hai
tirī judā.ī kā nīlam alag se rakkhā hai
kiyā nahīñ use duniyā ke zevrāt meñ gum
Ghazal
ye aagahi hai jo karti hai mujhko zat mein gum
chalā hai pahlū se yaar uTh kar ġham-e-judā.ī ko Tālte haiñ
kabhī to ham dil ko thāmte haiñ kabhī jigar ko sambhālte haiñ
Ghazal
wo chaal aTkheliyon se chal kar dil o jigar raunde Dalte hain
sab ek se the tulū-o-ġhurūb-e-jāñ us ke
judā.ī meñ bhī vo naqsh-e-jamīl chhoḌ gayā
Ghazal
kai zamanon ke dariya-e-nil chhoD gaya
'nazīr' aah dil kī judā.ī burī hai
baheñ kyuuñ na āñkhoñ se aañsū ke naale
Ghazal
miyan dil tujhe le chale husn wale
hai bahut dushvār marnā ye sunā karte the ham
par judā.ī meñ tirī ham ne jo dekhā sahl hai
Ghazal
ishq to mushkil hai ai dil kaun kahta sahl hai
tulū-e-sub.h-e-safar kī ghaḌī thī yaad aayā
judā.ī rāsta roke khaḌī thī yaad aayā
Ghazal
tulu-e-subh-e-safar ki ghaDi thi yaad aaya
maiñ tirī aañkh ko tashbīh duuñ maiḳhāne se
aur ḳhud zahr-e-judā.ī kā talabgār rahūñ
Nazm
hasb-e-farmaish
paas rah kar judā.ī kī tujh se
duur ho kar tujhe talāsh kiyā
Qita
pas rah kar judai ki tujhse
jis kī judā.ī ne mujhe shā.ir banā diyā
paḌhtā huuñ maiñ ġhazal bhī usī kī likhī huī
Ghazal
dohra raha hun baat purani kahi hui
ek dard-e-judā.ī kā ġham kyā kareñ
kis maraz kī davā hai tire shahr meñ
Sher
ek dard-e-judai ka gham kya karen
vaqt-e-ruḳhsat nishānī jo talab kī to kahā
daaġh kaafī hai judā.ī kā agar yaad rahe
Sher
waqt-e-ruKHsat nishani jo talab ki to kaha
ḳhat-e-to.am kī tarah āshiq o māshūq haiñ ek
donoñ bekār haiñ jis vaqt judā.ī ho jaa.e
Ghazal
rang se pairahan-e-sada hinai ho jae
tujh ko hai ham se judā.ī aarzū
mere dil meñ shauq hai dīdār kā
Sher
tujhko hai humse judai aarzu
dil le ke burā.ī karte haiñ lo aur suno lo aur suno
phir zikr-e-judā.ī karte haiñ lo aur suno lo aur suno
Ghazal
dil le ke burai karte hain lo aur suno lo aur suno
maiñ TuuT jaatā huuñ aur duur jā bikhartā huuñ
agar judā.ī kā sadma zarā bhī hotā hai
Ghazal
mein sochta hun jise aashna bhi hota hai

Top Urdushayar.com