Tags-Kashti

Dūbne vaale bhī us kashtī ke kam shātir na the
ādatan kahte rahe the nā-ḳhudā achchhā nahīñ
Ghazal
qurb-e-manzil TuT jae hausla achchha nahin
kashtī hai tabāh dil-shudaoñ kī
lenā ḳhabar apne be-ḳhudoñ kī
Ghazal
kashti hai tabah dil-shudaon ki
har ghaḌī ḳhud se ulajhnā hai muqaddar merā
maiñ hī kashtī huuñ mujhī meñ hai samundar merā
Sher
har ghaDi KHud se ulajhna hai muqaddar mera
kisī ke kahne pe tūfāñ meñ Daal dī kashtī
ḳhudā kare ki havā sāzgār ho ke chale
Ghazal
qarar kho ke chale be-qarar ho ke chale
jab kashtī sābit-o-sālim thī sāhil kī tamannā kis ko thī
ab aisī shikasta kashtī par sāhil kī tamannā kaun kare
Ghazal
marne ki duaen kyun mangun jine ki tamanna kaun kare
abhī tahzīb-e-adl-o-haq kī kashtī khe nahīñ saktī
abhī ye zindagī dād-e-sadāqat de nahīñ saktī
Nazm
mujhe jaana hai ek din
bhañvar meñ chhoḌ dī kashtī hamāre nā-ḳhudāoñ ne
nigāhoñ ke sabhī raushan kināre bech Daale haiñ
Ghazal
kisi ne chand suraj aur sitare bech Dale hain
ab terī zarūrat hī nahīñ
nuqra.ī kashtī hai ab bachchoñ kī ik kāġhaz kī naav
Nazm
radd-e-amal
aañkh kī raah se bujhte hue lamhe utre
aqrabā jitne the kashtī ke vo saare utre
Ghazal
aankh ki rah se bujhte hue lamhe utre
kashtī bhañvar meñ un kī nigāhoñ meñ bebasī
'manzar' yahī to ab ke uThā le gayā mujhe
Ghazal
dasht-e-junun mein aabla-pa le gaya mujhe
jab beach bhañvar ziist kī kashtī kabhī Duube
mallāh bano aur mujhe patvār karo tum
Ghazal
aasan har ek baat ko dushwar karo tum
mirī kashti-e-tamannā kabhī ḳhushkiyoñ meñ Duubī
kabhī bahr-e-ġham kā tinkā mujhe de gayā sahārā
Ghazal
kabhi be-niyaz-e-maKHzan kabhi dushman-e-kinara
agarche paar kāġhaz kī kabhī kashtī nahīñ jaatī
magar apnī ye majbūrī ki ḳhush-fahmī nahīñ jaatī
Ghazal
agarche par kaghaz ki kabhi kashti nahin jati
kisī ne bhej kar kāġhaz kī kashtī
bulāyā hai samundar paar mujh ko
Sher
kisi ne bhej kar kaghaz ki kashti
vo ham-safar thā kashtī pe māñjhī bhī thā vahī
dariyā vahī hai maiñ bhī huuñ kashtī nahīñ rahī
Ghazal
phir yun hua ki zindagi meri nahin rahi
kāġhzī kashtī kī aamad kā ishāra mil gayā
Dūbne vaale ko tinke kā sahārā mil gayā
Ghazal
kaghzi kashti ki aamad ka ishaara mil gaya
sukūt-e-shab meñ jab saare musāfir so.e hote haiñ
unhīñ lamhāt meñ kashtī nadī se baat kartī hai
Ghazal
meri hi baat sunti hai mujhi se baat karti hai
kashtī to ravāñ hai kab se shab kī
kis ghaaT lagegī tai nahīñ hai
Ghazal
un aankhon mein rang-e-mai nahin hai
ye hai kashtī vajūd kī 'jānāñ'
ye phaTā dil kā bādbān paḌā
Ghazal
peD par jaane kis ka dhyan paDa

Top Urdushayar.com