Tags-Khat

ḳhatt-e-āriz jo tarashne se miTe hai ye muhāl
chhīlne se nahīñ qismat kā likhā chhil jaatā
Ghazal
gar junun kar mujhe paband-e-salasil jata
ḳhat bhī diyā to qāsid-e-ġhaflat-shi.ār ko
naama mirā bañdhā huā bāzū-e-shal meñ hai
Ghazal
tasir jazb maston ki har har ghazal mein hai
apne purāne ḳhat lene vo aa.ī thī mire kamre meñ
mez pe do tasvīreñ dekhīñ ḳhat le jaanā bhuul ga.ī
Ghazal
phul pe aa ke baiThi to KHud par utarna bhul gai
aise khilā vo phuul sā chehra phailī saare ghar ḳhushbū
ḳhat ko chhupā kar paḌhne vaalī raaz chhupānā bhuul ga.ī
Ghazal
phul pe aa ke baiThi to KHud par utarna bhul gai
koī mujh jaisā hī roz aatā hai āñkhoñ meñ liye sabza-e-dasht
ik harā ḳhat dar-o-dīvār ko detā hai chalā jaatā hai
Ghazal
sab mera aab-e-rawan kis ke ishaaron pe baha jata hai
bastī bastī ḳhat-e-gum-gashta sā āvāra huuñ
kal kahāñ koī mujhe rok le maiñ kyā jānūñ
Ghazal
basti basti KHat-e-gum-gashta sa aawara hun
maiñ havas ke gird chāhat kā hunar bantā rahā
us ke ḳhat merī vafādārī ke naam aate rahe
Ghazal
umr bhar pesh-e-nazar mah-e-tamam aate rahe
barsoñ se kaan par hai qalam is umiid par
likhvā.e mujh se ḳhat mire ḳhat ke javāb meñ
Sher
barson se kan par hai qalam is umid par
ḳhvāhish-e-vasl kā mazmūñ jo kisī satr meñ thā
kyā kahūñ ḳhat ko mire paḌh ke vo kyā kyā uchhlā
Sher
KHwahish-e-wasl ka mazmun jo kisi satr mein tha
bas ki fa.ālummā-yurīd hai aaj
har silah shor englistāñ kā
Latiife
Aankhein Photen Jo Ek Harf Bhi Padha Ho
ġhālib ye hai ki mausam-e-ḳhat vaañ qarīb hai
aane lagā hai muttasil us kā payām yaañ
Ghazal
be-rawi o zulf-e-yar hai rone se kaam yan
qāsid ke badan par alif-e-zaḳhm lage haiñ
ḳhat kā mire likkhā ye javāb aap ne kyā ḳhuub
Ghazal
har uzw-e-badan ek se hai ek tera KHub
māñge baġhair mujh ko apnī kitāb denā
us meñ chhupā ke mere ḳhat kā javāb denā
Ghazal
mange baghair mujhko apni kitab dena
tumhāre hijr meñ ye haal ho gayā apnā
kisī kā ḳhat ho use bhī sambhāl rakhte haiñ
Ghazal
tere gale mein jo banhon ko Dal rakhte hain
baḳhsh mere gunāh kuuñ aa mil
ḳhat nahīñ ye ḳhat-e-muāfī hai
Ghazal
jis kun tujh gham sin dil-shigafi hai
be-ḳhatī meñ ayaañ hai sabza-e-ḳhat
tere aariz meñ bas ki saafī hai
Ghazal
jis kun tujh gham sin dil-shigafi hai
peshtar ḳhat se mazā thā husn kā ai naunihāl
ho gayā dāġhī tirā seb-e-zanaḳhdāñ āj-kal
Ghazal
ai sanam sab hain tere hathon se nalan aaj-kal
kal merī ek pyārī sahelī kitāb meñ
ik ḳhat chhupā rahī thī ki tum yaad aa ga.e
Ghazal
tumko bhula rahi thi ki tum yaad aa gae
ġhalat ki sāne.a ko ho gavārā ḳharāsh-e-añgusht-hā-e-nāzuk
javāb-e-ḳhat kī ummīd rakhte jo qaul-e-juffil-qalam na hotā
Ghazal
adam mein rahte to shad rahte use bhi fikr-e-sitam na hota

Top Urdushayar.com