Tags-Mohabbat

ham haiñ ḳhāmosh ki majbūr-e-mohabbat the 'farāz'
varna mansūb haiñ sarkār se bāteñ kyā kyā
Ghazal
chal nikalti hain gham-e-yar se baaten kya kya
kyuuñ na ham yaad kisī ko sahar-o-shām kareñ
ho na itnā bhī mohabbat meñ to kyā kaam kareñ
Ghazal
kyun na hum yaad kisi ko sahar-o-sham karen
ek āzār dhaḌaktā hai yahāñ siine meñ
ab tujhe kaise batā.eñ ki mohabbat kyā hai
Ghazal
subh kaisi hai wahan sham ki rangat kya hai
ho jaise jurm-e-mohabbat meñ merī nākāmī
har ik se rahtā huuñ 'nūrī' nazar bachā.e hue
Ghazal
KHud apne ghar mein hain is tarah aaj aae hue
abhī to dil meñ halkī sī ḳhalish mahsūs hotī hai
bahut mumkin hai kal is kā mohabbat naam ho jaa.e
Sher
abhi to dil mein halki si KHalish mahsus hoti hai
majbūr kar diyā hai mohabbat ne yaar kī
bāhar ham iḳhtiyār se haiñ apne jā chuke
Ghazal
kya kya na rang tere talabgar la chuke
sadmoñ ne ishq-e-husn ke dam kar diyā fanā
'ātish' sazā gunāh-e-mohabbat kī pā chuke
Ghazal
kya kya na rang tere talabgar la chuke
'tahsīn' mazāmīn-e-ġhazal aur nikālo
ye daur mohabbat kī musībat se barī hai
Ghazal
har waqt mere samne ek jalwagari hai
chhupānā bhī jo tum chāho mohabbat chhup na pā.egī
diyā dil meñ jalegā aur chamak chehre pe aa.egī
Ghazal
chhupana bhi jo tum chaho mohabbat chhup na paegi
kabhī ojhal kabhī pesh-e-nazar hai
mohabbat meñ sharārat kā asar hai
Ghazal
kabhi ojhal kabhi pesh-e-nazar hai
adā.eñ dil pe dastak de rahī haiñ
mohabbat guftugū se bālā-tar hai
Ghazal
kabhi ojhal kabhi pesh-e-nazar hai
mohabbat mirī rañg laane lagī hai
ki un kī nazar muskurāne lagī hai
Ghazal
mohabbat meri rang lane lagi hai
ye chheḌā hai kis ne rabāb-e-mohabbat
ki har saañs kuchh gungunāne lagī hai
Ghazal
mohabbat meri rang lane lagi hai
mukammal ho to sachchā.ī kahāñ taqsīm hotī hai
ye kahnā hai mohabbat ke vafā ke hissa-dāroñ se
Ghazal
koi puchhe mere mahtab se mere sitaron se
mohabbat ho kisī kī yā adāvat
mazā de jā.egī dil se jo hogī
Sher
mohabbat ho kisi ki ya adawat
fareb-ḳhurda-e-ulfat se pūchhiye kyā hai
vo ek ahd-e-mohabbat ki ustuvār na ho
Ghazal
KHizan-nasib ki hasrat ba-ru-e-kar na ho
be-kaif javānī hai be-dard zamāna hai
nākām-e-mohabbat kā itnā hī fasāna hai
Sher
be-kaif jawani hai be-dard zamana hai

Top Urdushayar.com