Tags-Mohabbat

udāsiyoñ ke sivā kuchh nahīñ milegā mujhe
'zamān' jab bhī mohabbat kā baab dekhūñgā
Ghazal
main ratjagon ke mukammal azab dekhunga
mujh ko tujh se jo kuchh mohabbat hai
ye mohabbat nahīñ hai aafat hai
Ghazal
mujhko tujhse jo kuchh mohabbat hai
ḳhazāna-e-zar-o-gauhar pe ḳhaak Daal ke rakh
ham ahl-e-mehr-o-mohabbat haiñ dil nikāl ke rakh
Sher
KHazana-e-zar-o-gauhar pe KHak Dal ke rakh
kitne ishve haiñ ik mohabbat ke
kitne pahlū se āzmātī hai
Ghazal
in dinon sham aise aati hai
vo kaun haiñ phūloñ kī hifāzat nahīñ karte
sunte haiñ jo ḳhushbū se mohabbat nahīñ karte
Ghazal
wo kaun hain phulon ki hifazat nahin karte
lagtā hī nahīñ daur-e-mohabbat bhī kabhī thā
ab log yahāñ sirf kamāne meñ lage haiñ
Ghazal
sare to nahin jaan bachane mein lage hain
ai hinā rang-e-mohabbat to hai mujh meñ bhī nihāñ
tere dhoke meñ koī piis na Daale mujh ko
Sher
ai hina rang-e-mohabbat to hai mujh mein bhi nihan
dāvat de kabhī kyuuñ vo mohabbat se bulā.e
dariyā se mirī pyaas kā rishta to nahīñ hai
Ghazal
aana tha jise aaj wo aaya to nahin hai
jiine na deñge dekhne vaale kabhī hameñ
achchhā ye hai ki jabr-e-mohabbat se kaam le
Ghazal
is iltifat par koi daman na tham le
mujh pe har ik se mohabbat kī ye tohmat na lagā
maiñ ki is jazbe ko yuuñ aam nahīñ kar saktā
Ghazal
ruh ko apni tah-e-dam nahin kar sakta
hue jab se mohabbat-āshnā ham
nahīñ laate zabāñ par mudda.ā ham
Ghazal
hue jab se mohabbat-ashna hum
kachchī dīvār se girtī huī miTTī kī tarah
kaañp kaañp uThtā hai barbād-e-mohabbat kā vajūd
Nazm
nuqush
jiinā hai to jiine kī mohabbat meñ maro
ġhār-e-hastī ko niist ho ho ke maro
Rubaai
jina hai to jine ki mohabbat mein maro
ġhum-gashtagān-e-dasht-e-mohabbat huuñ mustafīd
rāh-e-talab meñ sham-e-vafā ban ga.e haiñ ham
Ghazal
taqdir ke likhe se siwa ban gae hain hum
ham kyuuñ havas-parastī kā ilzām deñ use
sab aaj apnī apnī mohabbat se pūchhiye
Ghazal
zaKHm-e-jigar ko dast-e-jarahat se puchhiye
vo ibtidā-e-mohabbat kī lazzateñ vallāh
ki ab bhī ruuh meñ ik ehtizāz baaqī hai
Ghazal
dil-e-fasurda mein kuchh soz o saz baqi hai
arbāb-e-mohabbat par tum zulm ke baanī ho
ye varna mohabbat ke dastūr nahīñ hote
Ghazal
hum maut bhi aae to masrur nahin hote
hai ishq tirā 'fānī' tash.hīr bhī shohrat bhī
rusvā-e-mohabbat yuuñ mash.hūr nahīñ hote
Ghazal
hum maut bhi aae to masrur nahin hote
sarfaroshān-e-mohabbat pe ḳhudā kī rahmat
mudda.ī sab haiñ magar ek bhī fariyād nahīñ
Ghazal
qissa-e-husn nahin ishq ki rudad nahin
ham mohabbat ko samundar kī tarah jānte haiñ
kuud hī jaate agar koī kināra hotā
Ghazal
phul khilte hain talab mein tara hota

Top Urdushayar.com