Tags-Mother

kyā jaane kis kī beTī hai kis kī bahan
kyā jaane kis baap kā dil kis maañ kā nuur
Nazm
pagal aurat
maañ kī āġhosh kī mānind hoñ shāḳheñ jis kī
vo kisī des kā ho aise shajar ke ham haiñ
Ghazal
ghar kabhi tha wo hamara bhi jidhar ke hum hain
is liye chal na sakā koī bhī ḳhanjar mujh par
merī shah-rag pe mirī maañ kī duā rakkhī thī
Ghazal
jab na aane ki qasam aapne kha rakkhi thi
ḳhuun ke rishte mol bike bāzāroñ meñ
māñ-jā.e bhī ab to patthar lagte haiñ
Ghazal
ishq mein tere jangal bhi ghar lagte hain
bose biivī ke hañsī bachchoñ kī āñkheñ maañ kī
qaid-ḳhāne meñ giraftār samajhiye ham ko
Ghazal
gir bhi jaen to na mismar samajhiye hum ko
ḳhamīr ek hai sab kā to ai zamīn ai maañ
zabān-o-maz.hab-o-qaum-o-vatan ye sab kyā hai
Ghazal
piyo ki ma-hasal-e-hosh kis ne dekha hai
ghar lauT ke ro.eñge maañ baap akele meñ
miTTī ke khilaune bhī saste na the mele meñ
Sher
ghar lauT ke roenge man bap akele mein
apne bachchoñ ke liye laakh ġharībī ho magar
maañ ke pallū meñ ka.ī sikke milā karte haiñ
Ghazal
main ghazal hun mujhe jab aap suna karte hain
maañ yaad tirī dil se bhulā.ī nahīñ jaatī
sūrat tirī āñkhoñ se haTā.ī nahīñ jaatī
Nazm
man
duniyā meñ muqarrar hai har ik chiiz kī qīmat
maañ terī mohabbat kā koī daam nahīñ hai
Nazm
man
maañ tere binā ab mujhe ārām nahīñ hai
lagtā hai ki duniyā se koī kaam nahīñ hai
Nazm
man
dhamkā.egī mujh ko to kabhī shaad karegī
maañ kyā huā ab kyuuñ tirā hañgām nahīñ hai
Nazm
man
aadam kī to maañ bhī na thī ai munkir-e-e.ajāz
iisā ko milā sirf sharaf be-pidrī kā
Ghazal
kab ghair hua mahw teri jalwagari ka
munavvar maañ ke aage yuuñ kabhī khul kar nahīñ ronā
jahāñ buniyād ho itnī namī achchhī nahīñ hotī
Sher
munawwar man ke aage yun kabhi khul kar nahin rona
sab ne bhar-peT khā liyā khānā
maañ kī thālī meñ kuchh nivāle the
Ghazal
KHwab aankhon mein jitne pale the
laakh badalnā chāho lekin maañ ko maañ kahte bantī hai
miTTī vahī vahī hai dhartī badal ga.iiñ pichhlī dīvāreñ
Ghazal
nai paud ke soch-mahal mein uTThin nai nai diwaren
maañ hai resham ke kār-ḳhāne meñ
baap masrūf suutī mill meñ hai
Nazm
niwala
kahāñ se lāoge tum maañ kī mamtā
agar pardes ghar hone lagā hai
Ghazal
koi zauq-e-nazar hone laga hai
muddatoñ ba.ad mayassar huā maañ kā āñchal
muddatoñ ba.ad hameñ niiñd suhānī aa.ī
Ghazal
Thahri Thahri si tabiat mein rawani aai
aqlīmā
jo hābīl kī qābīl kī māñ-jā.ī hai
Nazm
aqlima

Top Urdushayar.com