Tags-Muflisi

maiñ ne dekhī hai amīr-e-shahr kī vo muflisī
daulat-e-duniyā thī lekin ġham kā sarmāya na thā
Sher
maine dekhi hai amir-e-shahr ki wo muflisi
muflisī aur ye mazāhir haiñ nazar ke sāmne
saikḌoñ sultān-e-jābir haiñ nazar ke sāmne
Nazm
aawara
muflisī meñ mizāj shāhāna
kis maraz kī davā kare koī
Sher
muflisi mein mizaj shahana
muflisī jhāñktī hai rauzan o dar se lekin
ham laraztī huī dīvār sambhāle hue haiñ
Ghazal
apni tahzib ki diwar sambhaale hue hain
muflisī dekhtī hai kyā aise
terī tasvīr bhī rahī huuñ maiñ
Ghazal
ab to aksar ye sochti hun main
rakkhī na zindagī ne mirī muflisī kī sharm
chādar banā ke raah meñ phailā ga.ī mujhe
Ghazal
barson ke rat-jagon ki thakan kha gai mujhe
jalā paatī hai is se ruuh dil bedār hotā hai
baḌī muddat meñ ham 'ehsān' qadr-e-muflisī samjhe
Ghazal
rumuz-e-be-KHudi samjhe na asrar-e-KHudi samjhe
sikka-e-dāġh-e-junūñ milte jo daulat māñgtā
tañg kartī muflisī gar maiñ farāġhat māñgtā
Ghazal
sikka-e-dagh-e-junun milte jo daulat mangta
muflisī ke vaqt akasr ishrat-e-rafta kī yaad
yuuñ dikhātī hai jhalak ā.īna-e-idrāk par
Qita
muflisi ke waqt akasr ishrat-e-rafta ki yaad
ġham kī duniyā rahe ābād 'shakīl'
muflisī meñ koī jāgīr to hai
Sher
gham ki duniya rahe aabaad shakil
hamārī muflisī āvārgī pe tum ko hairat kyuuñ
hamāre paas jo kuchh hai vo sauġhāteñ tumhārī haiñ
Sher
hamari muflisi aawargi pe tumko hairat kyun
nahīñ hai koī sabab sab se us ke kaTne kā
ġharīb aadmī thā muflisī se haar gayā
Ghazal
wo jis ki sara jahan puKHtagi se haar gaya
muflisī meñ hai dil amīroñ kā
ham lañgoTī meñ khelte haiñ phaag
Ghazal
kya kahun ham-nashin ye mera bhag
ga.e dinoñ kā fasāna hai ab hamārā vajūd
vo muflisī bhī nahīñ hai vo roz-o-shab bhī nahīñ
Ghazal
gila to aap se hai aur be-sabab bhi nahin
muflisī meñ akelā chhoḌ aa.e
saath jis kā tumheñ nibhānā thā
Ghazal
hadsa to bas ek bahana tha
phir dulhan banñe se pahle muflisī beva huī
phir amīr-e-shahr ḳhvāboñ ko chitā de jā.egā
Ghazal
jagti aaankhon ko KHwabon ki saza de jaega
ḳhvāh muflisī se nikal gayā yā tavañgarī se nikal gayā
vahī vaqt asl-e-hayāt thā jo hañsī-ḳhushī se nikal gayā
Ghazal
KHwah muflisi se nikal gaya ya tawangari se nikal gaya
tirī pand ḳhair-asar nahīñ tirī bandagī bhī ġhalat-nigar
tirā fikr nāseh-e-mohtaram abhī muflisī kā shikār hai
Ghazal
baDi dil-shikan hai rah-e-safar koi ham-safar hai na yar hai
un ko mazdūr kahnā Thiik nahīñ
log jo muflisī se laḌte haiñ
Ghazal
lafz yun KHamushi se laDte hain

Top Urdushayar.com