Tags-Mulaqat

jab koī shām-e-hasīñ nazr-e-ḳharābāt huī
aksar aise meñ tire ġham se mulāqāt huī
Ghazal
jab koi sham-e-hasin nazr-e-KHarabaat hui
jab mulāqāt huī un se to yuuñ hañs ke mile
koī shikva na shikāyat na gilā ho jaise
Ghazal
wo badan phul ki bahon mein pala ho jaise
hai ajab tarz-e-mulāqāt ajab tarz-e-safar
paas aa ke na Thaharnā na guzarnā us kā
Ghazal
KHush bayaban mein magar shahr mein Darna us ka
ik sar-e-rāh mulāqāt to taslīm magar
ḳhalvatoñ meñ bhī bulāyā ho kabhī yaad nahīñ
Ghazal
wo meri bazm mein aaya ho kabhi yaad nahin
maiñ aaj ḳhud se mulāqāt karne vaalā huuñ
jahāñ meñ koī bhī mere sivā na rah jaa.e
Sher
main aaj KHud se mulaqat karne wala hun
mauj-dar-mauj samundar se mulāqāt huī
ḳhvāb ko ḳhvāb sar-e-sat.h-e-zamīñ likhā gayā
Ghazal
jis tayaqqun se jo likhna tha nahin likkha gaya
log jitne mile bichhaḌ hī ga.e
kyā mulāqāt thī guzar hī ga.ī
Ghazal
zindagi raat thi guzar hi gai
'sahar' tum us se mulāqāt kaise karte ho
vo shaḳhs ab to lab-e-bām bhī nahīñ hotā
Ghazal
labon pe shikwa-e-ayyam bhi nahin hota
kitne din ba.ad phir aaj un se mulāqāt huī
ruk gayā vaqt daraḳhshanda mirī raat huī
Ghazal
kitne din baad phir aaj un se mulaqat hui
aise lagtā hai mirī jaan ta.alluq apnā
is mulāqāt se aage nahīñ jaane vaalā
Ghazal
shahr-e-sadmat se aage nahin jaane wala
vo raqīboñ kā pata pūchhne aa.e mire ghar
koī to un se mulāqāt kā rasta niklā
Ghazal
aaina-KHana bhi andoh-e-tamanna nikla
dostoñ se mulāqāt kī shaam hai
ye sazā kaaT kar apne ghar jā.ūñgā
Ghazal
saneha ye bhi ek roz kar jaunga
hamārā naam kyā sūrat nahīñ yaad
mulāqāt un se to akasr rahī thī
Ghazal
taaqub mera KHushbu kar rahi thi
phir aaj uTh rahā hai dhuāñ dal ke ās-pās
tajdīd-e-ārzū-e-mulāqāt bhī nahīñ
Ghazal
itni KHarab surat-e-haalat bhi nahin
tū dil pe bojh le ke mulāqāt ko na aa
milnā hai is tarah to bichhaḌnā qubūl hai
Sher
tu dil pe bojh le ke mulaqat ko na aa
phir dam-e-dīd rahe chashm o nazar dīd-talab
phir shab-e-vasl mulāqāt na hone paa.ī
Ghazal
sharah-e-bedardi-e-haalat na hone pai
na milo khul ke to chorī kī mulāqāt rahe
ham bulā.eñge tumheñ raat ga.e raat rahe
Sher
na milo khul ke to chori ki mulaqat rahe
bas ek baar us se mulāqāt kyā huī
tā-umr apne aap ko phir ham mile
Ghazal
tera hi zikr harsu tera hi bayan mile
kaise kah duuñ kī mulāqāt nahīñ hotī hai
roz milte haiñ magar baat nahīñ hotī hai
Ghazal
kaise kah dun ki mulaqat nahin hoti hai
Dhal chukī raat mulāqāt kahāñ so jaao
so gayā saarā jahāñ saarā jahāñ so jaao
Ghazal
Dhal chuki raat mulaqat kahan so jao

Top Urdushayar.com