Tags-Raat

bahut bechain huuñ niiñd aa rahī hai raat jaatī hai
ḳhudā ke vāste jald ab karo tadbīr sone kī
Ghazal
hasinon ke gale se lagti hai zanjir sone ki
ik raat maiñ so nahīñ sakā thā
aur ḳhvāb bhī dekhnā paḌā thā
Ghazal
ek raat main so nahin saka tha
raat ke surma.ī añdheroñ meñ
saañs lete hue saveroñ meñ
Nazm
tumhaari yaad
be-yār sar-e-shām se hai jaan pe naubat
allāh abhī chaar pahar raat paḌī hai
Sher
be-yar sar-e-sham se hai jaan pe naubat
som-ras maiñ ne piyā
raat din raqs kiyā
Nazm
zindagi
dard itnā thā ki us raat dil-e-vahshī ne
har rag-e-jāñ se ulajhnā chāhā
Nazm
heart-attack
chhīn kar ḳhvāb mire merī talab pūchhte haiñ
raat bhar niiñd na aane kā sabab pūchhte haiñ
Ghazal
chhin kar KHwab mere meri talab puchhte hain
chashm-e-ḳhūñ-basta se kal raat lahū phir Tapkā
ham ne jaanā thā ki bas ab to ye nāsūr gayā
Ghazal
kya mere aane pe tu ai but-e-maghrur gaya
nāla-e-'mīr' nahīñ raat se sunte ham log
kyā tire kūche se ai shoḳh vo ranjūr gayā
Ghazal
kya mere aane pe tu ai but-e-maghrur gaya
furqat meñ kyā batā.ūñ ki din hai ki raat hai
āñkhoñ ko sūjhtā nahīñ rone ke dhyān meñ
Ghazal
kaisa hi dost ho na kahe raaz-e-dil koi
bayāz-e-mehr nigal kar bhī raat raat rahī
siyāhkār kā chehra siyāh-fām rahā
Ghazal
har ek haal mein chalne se jis ko kaam raha
pās-e-rusvā.ī se dekho paas aa sakte nahīñ
raat aa.ī niiñd kā tum ko bahāna ho gayā
Ghazal
dil mera tir-e-sitam-gar ka nishana ho gaya
tū kahāñ hai ḳhabar nahīñ ai dost
raat din terī guftugū hai yahāñ
Ghazal
mat samajhna ki sirf tu hai yahan
yahī hai mudda.ā apnā yahī hai iltijā apnī
vatan meñ rāt-din yārab masarrat ho masarrat ho
Ghazal
KHudaya hind par teri inayat ho inayat ho
kis qadar be-misāl sapnā thā
chain se kaT ga.ī hai raat mirī
Ghazal
hai mukammal unhi se zat meri
kisī kī zulf ke saude meñ raat kī hai basar
kisī ke ruḳh ke tasavvur meñ din tamām kiyā
Sher
kisi ki zulf ke saude mein raat ki hai basar
maiñ yahī soch ke
kal raat nahīñ soyā agar
Nazm
andesha
raat bhar jaltā rahā huuñ maiñ 'suhail' is aas meñ
maiñ to bujh jā.ūñgā lekin raushnī rah jā.egī
Ghazal
tujhse sab kuchh kah ke bhi kuchh an-kahi rah jaegi
maiñ huuñ vo raat sitāre jise gahrā kar deñ
maiñ huuñ vo bazm jise raqs-e-sharar le Duube
Ghazal
main hun wo aankh jise KHun-e-jigar le Dube
shajar-e-ummīd bhī jal gayā vo vafā kī shāḳh bhī jal ga.ī
mire dil kā naqsha badal gayā mirī sub.h raat meñ Dhal ga.ī
Ghazal
shajar-e-ummid bhi jal gaya wo wafa ki shaKH bhi jal gai

Top Urdushayar.com