English
English
اردو
हिन्दी
Favourite
Favourite (3)
Favourite
shayari
shayar
collections
tags
dictionary
Expand menu
Sign in
Account
Collections
Lab Shayari
Motivational Ghazals
Best Khamoshi Shayari
More Collections
Home
Shayar
Shayari
Sher
Ghazal
Nazm
Tags
Dictionary
Home
Tags
Raat
Tags-Raat
ḳhabar nahīñ ki nigār-e-sahar kī hasrat meñ
tamām raat charāġh-e-vafā pe kyā guzrī
Nazm
shikast-e-zindan
mil ga.e hoñge donoñ vaqt gile
aur phir raat ho ga.ī hogī
Ghazal
phir wahi baat ho gai hogi
tīrgī ne chhuḌā liyā dāman
chāñdnī-rāt ho ga.ī hogī
Ghazal
phir wahi baat ho gai hogi
kitne din ke ba.ad mile the raat kī raanī jugnū aur maiñ
us kī bāteñ karte rahe the raat kī raanī jugnū aur maiñ
Ghazal
kitne din ke baad mile the raat ki rani jugnu aur main
piile pattoñ ke saa.e meñ ik anjān udāsī thī
zard fazā meñ baiThe rahe the raat kī raanī jugnū aur maiñ
Ghazal
kitne din ke baad mile the raat ki rani jugnu aur main
aadhī raat ko chāñd bhī thak kar nahr kināre Duub gayā thā
tāroñ ke sañg gaate rahe the raat kī raanī jugnū aur maiñ
Ghazal
kitne din ke baad mile the raat ki rani jugnu aur main
jañgal jañgal phail rahī thī apne pāgal-pan kī ḳhushbū
jhūmte nāchte gaate rahe the raat kī raanī jugnū aur maiñ
Ghazal
kitne din ke baad mile the raat ki rani jugnu aur main
din ye badlegā raat badlegī
gardish-e-kā.enāt badlegī
Qita
din ye badlega raat badlegi
chhoḌā hai maiñ ne raat na ghar jaane ko unheñ
jab kuchh na bas chalā to vo jhunjhlā ke so rahe
Ghazal
shab to wo yan se ruTh ke ghar ja ke so rahe
manzūr thā ghaTānā jo ishrat kī raat kā
choTī vo apnī mujh se hī bandhvā ke so rahe
Ghazal
shab to wo yan se ruTh ke ghar ja ke so rahe
rāt-bhar terī raah takte rahe
tere kūche kī raushnī aur maiñ
Ghazal
aarzu ki hama-hami aur main
ek hī raah ke musāfir haiñ
be-karāñ raat ḳhāmushī aur maiñ
Ghazal
aarzu ki hama-hami aur main
raat us paikar-e-ḳhayāl ke paas
chand phūloñ kī boss thī aur maiñ
Ghazal
aarzu ki hama-hami aur main
un ko ai narm havā ḳhvāb-e-junūñ se na jagā
raat mai-ḳhāne kī aa.e haiñ guzāre hue log
Sher
un ko ai narm hawa KHwab-e-junun se na jaga
gahrī raat meñ saa.e
saa.e zard ghaTā
Nazm
dua
ajiib sāneha mujh par guzar gayā yaaro
maiñ apne saa.e se kal raat Dar gayā yaaro
Ghazal
ajib saneha mujh par guzar gaya yaro
tinkā tinkā kāñTe toḌe saarī raat kaTā.ī kī
kyuuñ itnī lambī hotī hai chāñdnī raat judā.ī kī
Ghazal
tinka tinka kanTe toDe sari raat kaTai ki
tāroñ kī raushan fasleñ aur chāñd kī ek darāñtī thī
saahū ne girvī rakh lī thī merī raat kaTā.ī kī
Ghazal
tinka tinka kanTe toDe sari raat kaTai ki
sach hai ġham-e-firāq meñ ham ro nahīñ sake
vo bhī tamām raat magar so nahīñ sake
Ghazal
sach hai gham-e-firaq mein hum ro nahin sake
maiñ to lab-basta thā phir vo chīḳh kaisī thī 'munīr'
raat merī Thokaroñ meñ kaun thā mere sivā
Ghazal
main nahin tha ratjagon mein kaun tha mere siwa
Prev
251 / 426
1
...
248
249
250
251
252
253
254
...
426
Next
Top
Urdushayar.com