Tags-Sahra

le ga.e log vo dariyā-e-javāñ apne saath
aur mire haath jo aayā hai vo sahrā dukh hai
Ghazal
jism mein gunjta hai ruh pe likkha dukh hai
mausam ho koī yaad ke ḳheme nahīñ uThte
sahrā se tire chāhne vaale nahīñ uThte
Ghazal
mausam ho koi yaad ke KHeme nahin uThte
balā kī pyaas thī hadd-e-nazar meñ paanī thā
ki aaj ḳhvāb meñ sahrā thā ghar meñ paanī thā
Ghazal
bala ki pyas thi hadd-e-nazar mein pani tha
sahrā meñ havā bal khātī hai bādal ko sabā sankātī hai
paanī se zamīñ narmātī hai sabzoñ se fazā lahrātī hai
Nazm
sawan
rañgīñ gulshan rañgī sahrā rañgī duniyā rañgī bāteñ
nāche kheleñ dauḌeñ bhāgeñ rātoñ jāgeñ nīñdoñ māteñ
Nazm
sawan
dil ki ārā.ish-e-ālam kā tamāshā dekhe
gar kabhī ḳhud pe nazar jaa.e to sahrā dekhe
Ghazal
dil ki aaraish-e-alam ka tamasha dekhe
ham apne raste se haT ga.e haiñ bhaTak ga.e haiñ
na koī sahrā na koī dariyā suno ġhazāla
Ghazal
kabhi andhera kabhi ujala suno ghazala
mire dast-e-junūñ ko mashġhalā achchhā nikal aayā
garebāñ phaT gayā to dāman-e-sahrā nikal aayā
Sher
mere dast-e-junun ko mashghala achchha nikal aaya
vo namāzeñ ki adā ho na sakīñ
ab bhī sahrā meñ vuzū boltā hai
Ghazal
zaKHm sunte hain lahu bolta hai
pukārtā huuñ ki tum hāsil-e-tamannā ho
agarche merī sadā bhī sadā-ba-sahrā ho
Ghazal
pukarta hun ki tum hasil-e-tamanna ho
ye mahaktī huī ġhazal 'maḳhdūm'
jaise sahrā meñ raat phūloñ kī
Ghazal
phir chhiDi raat baat phulon ki
jin se ummīd hai sahrā meñ ghanī chhāñv kī
un daraḳhtoñ ke liye Dher sā paanī le jā
Ghazal
main nahin kahta har ek chiz purani le ja
isī sahrā se merī nisbateñ haiñ
jahāñ kā maiñ hī ik vāhid shajar huuñ
Ghazal
adu ke shahr mein kab be-asar hun
shauq-e-ta.amīr basā.egā ḳharābe kyā kyā
aadmī hai to har ik shahar meñ sahrā hogā
Ghazal
wahima hoga yahan koi na aaya hoga
tā-hadd-e-nazar mere sivā koī nahīñ hai
maiñ jaise kisī dard ke sahrā meñ khaḌā huuñ
Ghazal
main kaun hun kya hun main yahi soch raha hun
maiñ ek Thikāna DhūñDtā huuñ
jo sahrā hai na hī dariyā hai
Ghazal
ek saya mere jaisa hai
tumhārī aah kā ye kaun sā andāz hai vāzeh nahīñ hotā
muamma ye nahīñ khultā ki tum dariyā ko sahrā kaise karte ho
Ghazal
ba-zahir jo nazar aate ho tum masrur aisa kaise karte ho
āvāz huuñ ubhar ke jo sahrā meñ kho ga.ī
yā zindagī ke bahr meñ mauj-e-ḳhayāl huuñ
Sher
aawaz hun ubhar ke jo sahra mein kho gai
gūñjtī hai mire kānoñ meñ yuuñ āvāz tirī
koh o sahrā meñ azānoñ kī sadā ho jaise
Ghazal
TimTimata hua mandir ka diya ho jaise
kal chaman thā aaj ik sahrā huā
dekhte hī dekhte ye kyā huā
Ghazal
kal chaman tha aaj ek sahra hua

Top Urdushayar.com