Tags-Shaam

shām-e-tanhā yūñhī chup-chāp añdhere le kar
ghar ke andar hī chalī aa.ī hai
Nazm
sham-e-tanha
phuul sā nāzuk dil bhī apnā
gardish-e-sub.h-o-shām bhī apnī
Ghazal
subh bhi apni sham bhi apni
sub.h bhī apnī shaam bhī apnī
aur mai-e-gulfām bhī apnī
Ghazal
subh bhi apni sham bhi apni
inqilāb-e-sahar-o-shām ilāhī tauba
asar-e-gardish-e-ayyām ilāhī tauba
Ghazal
inqilab-e-sahar-o-sham ilahi tauba
maiñ ne sochā bhī nahīñ thā is ko
ho ga.ī shaam suhānī phir bhī
Ghazal
ho gai baat purani phir bhi
lauT bhī aayā to sadiyoñ kī thakan lā.egā
sub.h kā bhūlā huā shaam ko ghar aane tak
Ghazal
jada-e-zist mein tanwir-e-sahar aane tak
be-shak apne zebā.ī par us ko naaz rahe
lekin shaam savere yaad aane se baaz rahe
Ghazal
be-shak apne zebai par usko naz rahe
shaam ho jaa.e to din kā ġham manāne ke liye
ek shola sā munavvar apne andar dekhnā
Ghazal
aankh ki qismat hai ab bahta samundar dekhna
ek udaas tīrgī qismat-e-bām duur huī
jab se tumhārī yaad hai shām-e-alam se duur duur
Ghazal
ye to baja ki hum rahen chashm-e-karam se dur dur
maiñ use sub.h na jānūñ jo tire sañg nahīñ
maiñ use shaam na mānūñ ki jo tere bin hai
Sher
main use subh na jaanun jo tere sang nahin
jaise mumkin ho in ashkoñ ko bachāo 'tāriq'
shaam aa.ī to charāġhoñ kī zarūrat hogī
Ghazal
KHushk aaankhon se kahan tai ye masafat hogi
piyāla shaam ko rakhtā huuñ jab bhī maiñ 'adam' aage
javāñ ham-joliyoñ ke rū-e-ḳhandāñ yaad aate haiñ
Ghazal
wo abru yaad aate hain wo mizhgan yaad aate hain
ashk ye aur kisī kā hai sar-e-shām-e-umīd
merī āñkhoñ meñ utar kar jo rulātā hai mujhe
Ghazal
kis ki taswir se aaina Daraata hai mujhe
jis din se tire haath se chhūTā hai mirā haath
us din se koī shaam suhānī nahīñ likkhī
Ghazal
bahte hue ashkon ki rawani nahin likkhi
hai shaam udaas aziyyat duā namāz aur ishq
hai dasht chāñd havā maiñ ḳhudā namāz aur ishq
Ghazal
hai sham udas aziyyat dua namaz aur ishq
bañgāl kī maiñ shām-o-sahar dekh rahā huuñ
har chand ki huuñ duur magar dekh rahā huuñ
Nazm
qaht-e-bangal
sūraj kī tarah maut mire sar pe rahegī
maiñ shaam talak jaan ke ḳhatre meñ rahūñgā
Ghazal
kuchh roz main is KHak ke parde mein rahunga
shaam mahke tire tasavvur se
shaam ke ba.ad phir sahar mahke
Ghazal
tere aane ki jab KHabar mahke
bujh ga.ī dil kī raushnī raah dhuāñ dhuāñ huī
subah chale kahāñ se the shaam hameñ kahāñ huī
Ghazal
bujh gai dil ki raushni rah dhuan dhuan hui
shām-e-ġham meñ ye raushnī kaisī
dil kā sho.ala bhaḌak uThā hogā
Ghazal
usne phir aur kya kaha hoga

Top Urdushayar.com