Tags-Shohrat

apne afsāne kī shohrat use manzūr na thī
us ne kirdār badal kar mirā qissa likhkhā
Ghazal
kabhi jangal kabhi sahra kabhi dariya likhkha
ab ke shohrat ko ḳhabar hai tirī bad-ḳhūī kī
marsiya dil kā tire aage paḌegā kaise
Ghazal
zindagi tujh pe giran hai tu marega kaise
shohrat ke gahre dariyā meñ Duube to phir ubhre nahīñ
jin logoñ ko apnā samjhā jin logoñ se mohabbat kī
Ghazal
ek ke ghar ki KHidmat ki aur ek ke dil se mohabbat ki
tū jauhrī hai to zebā nahīñ tujhe ye gurez
mujhe parakh mirī shohrat kā intizār na kar
Ghazal
sitam ki tegh ye kahti hai sar na uncha kar
mere hoñToñ pe ḳhamoshī ke paḌe haiñ taale
merī āñkhoñ ne mirī aaj bhī shohrat kī hai
Ghazal
bas yahi baat yahan harf-e-malamat ki hai
ham na hoñge phir bhī bazm-ārā.īyāñ rah jā.eñgī
apnī shohrat ke liye rusvā.iyāñ rah jā.eñgī
Ghazal
unki yaadon ki hasin parchhaiyan rah jaengi
na jaane kitne charāġhoñ ko mil ga.ī shohrat
ik āftāb ke be-vaqt Duub jaane se
Sher
na jaane kitne charaghon ko mil gai shohrat
apne apne naam ke ujle shīsh-mahal kī ḳhair manāo
har shohrat kī muTThī meñ haiñ rusvā.ī ke kaale patthar
Ghazal
kis ne dekhe honge ab tak aise nae nirale patthar
tamannā.ī to haiñ lekin koī aage nahīñ baḌhtā
mirī shohrat kā hañgāma farāz-e-dār jaisā hai
Ghazal
mera KHwab-e-tamanna saat-e-bedar jaisa hai
jise tū ne ujālā jaan kar chehre pe likkhā thā
vahī shohrat tirī rusvā.iyoñ ke ham-kanār aa.ī
Ghazal
charaghon ke bujhane ko hawa be-iKHtiyar aai
biktā rahtā sar-e-bāzār ka.ī qistoñ meñ
shukr hai mere ḳhudā ne mujhe shohrat nahīñ dī
Ghazal
jitni hum chahte the utni mohabbat nahin di
kal ham se kah rahā thā shohrat-talab zamāna
tum kaam chāhte ho maiñ naam chāhtā huuñ
Ghazal
muddat ki tishnagi ka inam chahta hun
ek misra bhī jo zinda rahe kaafī hai 'sabā'
mere har sher kī shohrat ho zarūrī to nahīñ
Ghazal
usko bhi humse mohabbat ho zaruri to nahin
hameñ shohrat bulandī tak agar le ke chalī aa.ī
magar saa.e tale is ke ka.ī nākāmiyāñ aa.iiñ
Ghazal
tujhe dekha meri aankhon mein jab shadabiyan aain
un kī vaj.h-e-shohrat to talḳh guftugū hī thī
kyuuñ badal liyā lahja dil dukhāne vāloñ ne
Ghazal
chand bhi bujha Dala dil dukhane walon ne
aap ko shohrat milī achchhā huā
merā kyā hai maiñ agar rusvā huā
Ghazal
aadmi jab KHun ka pyasa hua
ham ko ma.alūm hai shohrat kī bulandī ham ne
qabr kī miTTī kā dekhā hai barābar honā
Ghazal
baadshahon ko sikhaya hai qalandar hona
chāñd ban kar mirī shohrat meñ ujālā kar do
raushnī ban ke bikhar jaao ġhazal hone tak
Ghazal
aao na mujh mein utar jao ghazal hone tak
ham se shāyad hī kabhī us kī shanāsā.ī ho
dil ye chāhe hai ki shohrat ho na rusvā.ī ho
Ghazal
humse shayad hi kabhi uski shanasai ho
zarā mahfūz rastoñ se guzarnā
tumhārī shahr meñ shohrat bahut hai
Ghazal
wo jis ke nam mein lazzat bahut hai

Top Urdushayar.com