Tags-Subah

jab liyā ahd shab-e-vasl kahā is ne 'hafīz'
sub.h ko yaad rahegī ye hameñ raat kī baat
Ghazal
yaad hai pahle-pahal ki wo mulaqat ki baat
yaad piirī meñ kahāñ ab vo javānī kī tarañg
sub.h hote hī hameñ bhuul ga.ī raat kī baat
Ghazal
yaad hai pahle-pahal ki wo mulaqat ki baat
ye sub.h-o-shām kī mastī ye nashsha-e-shab-o-roz
tire baġhair koī kaif ho mujhe sam hai
Ghazal
na qahqaha na tabassum na ashk paiham hai
añdhere ko añdhere hī kaheñge dekhne vaale
savād-e-shām ko sub.h-e-vatan kah duuñ to kyā hogā
Ghazal
khari baaten ba-andaz-e-suKHan kah dun to kya hoga
chaman meñ ġhuncha muñh khole hai jab kuchh dil kī kahne ko
nasīm-e-sub.h bhar rakhtī hai bātoñ meñ lagā lipTā
Sher
chaman mein ghuncha munh khole hai jab kuchh dil ki kahne ko
phirte ho baaġh se to pukāre hai andalīb
sub.h-e-bahār-e-gul pe shab-e-tār kar chale
Ghazal
ghunche se muskura ke use zar kar chale
jhūTī bāteñ mujhe yaad aa.iiñ jo us kī shab-e-hijr
sub.h-e-kāzib ko maiñ peshānī-e-qātil samjhā
Sher
jhuTi baaten mujhe yaad aain jo uski shab-e-hijr
sub.h ke dard ko rātoñ kī jalan ko bhūleñ
kis ke ghar jaa.eñ ki is va.ada-shikan ko bhūleñ
Ghazal
subh ke dard ko raaton ki jalan ko bhulen
'qamar' kī sub.h-e-furqat pūchhiye sūraj kī kirnoñ se
sitāre to gavāhī ke liye aa.e nahīñ jaate
Ghazal
lahad aur hashr mein ye farq kam pae nahin jate
'mīr' se bai.at kī hai to 'inshā' miir kī bai.at bhī hai zarūr
shaam ko ro ro sub.h karo ab sub.h ko ro ro shaam karo
Ghazal
jangal jangal shauq se ghumo dasht ki sair mudam karo
sham.a sā jab shaam hī se hai gudāz-e-dil 'ravāñ'
sub.h tak kyā jaane kyā hālat tirī ho jā.egī
Ghazal
yunhi gar har sans mein thoDi kami ho jaegi
tā sub.h gire aañsū aur aañkh nahīñ jhapkī
is baat ke shāhid haiñ Duube hue taare bhī
Ghazal
sadqe tere hote hain suraj bhi sitare bhi
sub.h se pahle bujh gayā 'tābish'
ek dil hī charāġh-e-ḳhāna thā
Ghazal
hama-tan gosh ek zamana tha
tū sub.h-e-bahārāñ kā hasīñ ḳhvāb hai phir bhī
āhista zarā os kī būñdoñ pe chalā kar
Ghazal
apne hi shab o rose mein aabaad raha kar
jab huī sub.h aa ga.e nāseh
unhīñ hazrat ko dekhtā huuñ maiñ
Ghazal
teri surat ko dekhta hun main
shab-e-furqat uThā uThā kar sar
sub.h-e-ishrat ko dekhtā huuñ maiñ
Ghazal
teri surat ko dekhta hun main
kisī sub.h-e-firāq meñ mujhe chhoḌ
kisī shaam malāl meñ mujhe mil
Ghazal
KHwab mein ya KHayal mein mujhe mil
sub.h ho jaa.e to us phuul ko dekhūñ ki jise
maiñ shabistān-e-bahārāñ se uThā laayā huuñ
Ghazal
apne riste hue zaKHmon ki qaba laya hun
ġhunchoñ kā vo chaTaknā, phūloñ kā vo mahaknā
panchhī pakheruoñ kā vo sub.h-dam chahaknā
Nazm
hindostan mera

Top Urdushayar.com