Tags-Subah

hamārī gardish-e-pā rāstoñ ke kaam aa.ī
kahīñ pe sub.h huī aur kahīñ pe shaam aa.ī
Ghazal
hamari gardish-e-pa raston ke kaam aai
ḳhāk-e-parvāna dam-e-sub.h uḌī jaatī hai
khul na jaa.e kahīñ mahfil ke charāġhoñ kā bharam
Ghazal
dil pe gar choT na lagti to na ishrat thi na gham
ye sard sub.h meñ soyā sharārtī sūraj
bas aañkh khulte hī pariyoñ kī shaal khīñchtā hai
Ghazal
chaman mein kaun babulon ki Dal khinchta hai
rone vaale hue chup hijr kī duniyā badlī
sham.a be-nūr huī sub.h kā taarā niklā
Sher
rone wale hue chup hijr ki duniya badli
aks us be-dīd kā to muttasil paḌtā thā sub.h
din chaḌhe kyā jānūñ ā.īne kī kyā sūrat huī
Ghazal
ishq mein zillat hui KHiffat hui tohmat hui
kyuuñ girāñ-bār hai ehsās pe tanhā.ī kī sub.h
paas mere tire hone kā gumāñ hote hue
Ghazal
raat raushan na hui kahkashan hote hue
vus.at-e-āsmāñ sub.h-e-parvāz kā koī muzhda sunā
shāḳh-e-hasrat pe baiThe hue tā.ir-e-be-navā ke liye
Ghazal
maine chup ke andhere mein KHud ko rakha ek faza ke liye
sub.h-e-jannat kī sabāhat is meñ hai
shām-e-gulshan kī latāfat is meñ hai
Nazm
taj
vo ruuh meñ anvār-e-ḳhudā sub.h vo sādiq
vo husn jise dekh ke har aañkh ho āshiq
Nazm
manazir-e-sahar
sub.h-e-visāl pūchh rahī hai ajab savāl
vo paas aa gayā ki bahut duur ho gayā
Ghazal
achchha tumhaare shahr ka dastur ho gaya
āshiyānoñ meñ na jab lauTe parinde to 'sadīd'
duur tak taktī rahīñ shāḳhoñ meñ āñkheñ sub.h tak
Sher
aashiyanon mein na jab lauTe parinde to sadid
utar zarūr magar aah sub.h-e-āzādī
kisī zamīn pe vaj.h-e-fasād ban ke na aa
Ghazal
udas sham mein pazhmurda baad ban ke na aa
muntazir us ke dilā tā-ba-kujā baiThnā
shaam huī ab chalo sub.h phir aa baiThnā
Sher
muntazir uske dila ta-ba-kuja baiThna
شفق صبح کو دريا کا خرام آئينہ
نغمہ شام کو خاموشي شام آئينہ
Nazm
شيکسپير
paak jazboñ ke samundar se nithārā huā nuur
nek sochoñ kī bilonī se biloī huī sub.h
Ghazal
raat bhar dard ki barsat mein dhoi hui subh
raat bhar dard kī barsāt meñ dhoī huī sub.h
sab kī āñkhoñ meñ hai jaise koī roī huī sub.h
Ghazal
raat bhar dard ki barsat mein dhoi hui subh
yuuñ bhī lauTeñge vatan ko kabhī ham hijr-nasīb
DhūñDhtī hogī hameñ bhī koī khoī huī sub.h
Ghazal
raat bhar dard ki barsat mein dhoi hui subh
kaun dekhegā mire ashk ko sūraj bante
kaun kāTegā mirī aañkh kī boī huī sub.h
Ghazal
raat bhar dard ki barsat mein dhoi hui subh
phuul be-rañg fazā zard parinde ḳhāmosh
shaam kī god meñ thak-hār ke soī huī sub.h
Ghazal
raat bhar dard ki barsat mein dhoi hui subh
sub.h-e-raushan kisī ke hoñToñ kā
rañg kuchh kuchh jo laal thā kyā thā
Ghazal
mahw-e-raqs-e-visal tha kya tha

Top Urdushayar.com