Tags-Ummeed

daldaloñ meñ bhī kañval khilte haiñ
naḳhl-e-ummīd bahar-taur bhale
Ghazal
gard uDe ya koi aandhi hi chale
ek ummīd kā bhī tū ne sahārā na kiyā
koī haamī na bharī koī ishāra na kiyā
Qita
ek ummid ka bhi tu ne sahaara na kiya
tanhā.ī-e-firāq meñ ummīd bār-hā
gum ho ga.ī sukūt ke hañgāma-zār meñ
Ghazal
maston pe ungliyan na uThao bahaar mein
ummīd-e-sukūñ kā zikr-e-ra.anā
sab ḳhvāb-o-sarāb ho gayā hai
Ghazal
ghunche ka jawab ho gaya hai
tuḳhm-rezī kar rahā huuñ maiñ isī ummīd par
phūlte phalte hue kal ye shajar dekheñge log
Ghazal
is sadi ka jab kabhi KHatm-e-safar dekhenge log
saa.e kī ummīd na rakhiye patthar kī chaTTānoñ se
bosīda dīvār kā saaya phir bhī saaya lagtā hai
Ghazal
bahar ka mahaul to hum ko aksar achchha lagta hai
sajāyā hai kahīñ āñkhoñ ne ḳhud ko māh-o-anjum se
isī ummīd par ki aane vaale din sunahre haiñ
Ghazal
udasi ke jazire par ghamon ke sae gahre hain
māyūs ho chukā huuñ ummīd kī jhalak se
maiñ jabr karte karte majbūr ho gayā huuñ
Ghazal
KHud tark-e-muddaa par majbur ho gaya hun
khel ummīd ke dekho ki na kī un ko ḳhabar
phir bhī ham muntazir-e-jalva-e-jānāna chale
Ghazal
su-e-kalkatta jo hum ba-dil-e-diwana chale
sarsabz hai aañsū siiñ mirā gulshan-e-ummīd
hai mujh kuuñ mire dīda-e-pur-āb kī saugand
Ghazal
pur-KHun hai jigar lala-e-sairab ki saugand
abhī na toḌo umīd-e-vafā ke phūloñ ko
mujhe to un kā bharosa thā zindagī ke liye
Ghazal
ghamon ke zaKHm uThate rahe KHushi ke liye
vo tīrgī hai ki kuchh bhī nazar nahīñ aatā
bas ik umiid kā taara dikhā.ī detā hai
Ghazal
na sarban hai na naqa dikhai deta hai
jin se ummīd hai sahrā meñ ghanī chhāñv kī
un daraḳhtoñ ke liye Dher sā paanī le jā
Ghazal
main nahin kahta har ek chiz purani le ja
samar kī parvā kiye bin hī ham ne boyā hai
zamīn-e-ḳhvāb pe ummīd kā shajar ab ke
Ghazal
kisi talab mein hua main na dar-ba-dar ab ke
ġham-e-aish-o-yās-o-umīd kā na asar hayāt pe ho sakā
mirī rūh-e-ishq vahī rahī ye libās the jo badal ga.e
Ghazal
jo gham-e-habib se dur the wo KHud apni aag mein jal gae
qadam sau man ke lagte haiñ kamar hī TuuT jaatī hai
koī ummīd jab bar aatī aatī TuuT jaatī hai
Ghazal
qadam sau man ke lagte hain kamar hi TuT jati hai
uff ye ummīd-o-bīm kā aalam
kaun se din mañDhe chaḌhegī bel
Qita
uff ye ummid-o-bim ka aalam
bahut se ishrat-e-nau-roz-o-īd meñ haiñ magan
bahut vo haiñ jo fareb-e-umīd meñ haiñ magan
Qita
bahut se ishrat-e-nau-roz-o-id mein hain magan
baat koī umiid kī mujh se nahīñ kahī ga.ī
so mire ḳhvāb bhī ga.e so merī niiñd bhī ga.ī
Ghazal
baat koi umid ki mujhse nahin kahi gai

Top Urdushayar.com