Tags-Waqt

vaqt ne us ke muqaddar meñ likhī tārīkī
jis ne chaḌhte hue sūraj kī taraf-dārī kī
Ghazal
kufa-e-shab ne jo tabir ki had jari ki
nahīñ gardishoñ meñ jo vaqt kī ho atā vo sā.at-e-māvarā
na to ibtidā ho na intihā na hoñ silsile mah o saal ke
Ghazal
na malal-e-hijr na muntazir hain hawa-e-sham-e-visal ke
kabhī to saath ye āsīb-e-vaqt chhoḌegā
ḳhud apne saa.e ko bhī dekhnā to Dar jaanā
Ghazal
sawal saKHt tha dariya ke par utar jaana
sīnoñ meñ iztirāb hai girya havā meñ hai
kyā vaqt hai ki shor machā hai duā duā
Ghazal
kashkol hai to la idhar aa kar laga sada
milne the jo bhī dard masarrat so mil ga.e
ab vaqt-e-āḳhirī ke liye kyā duā kareñ
Ghazal
murdon ki zindagi ke liye kya dua karen
vaqt aur hālāt par kyā tabsira kiije ki jab
ek uljhan dūsrī uljhan ko suljhāne lage
Sher
waqt aur haalat par kya tabsira kije ki jab
ravāñ hai
vaqt kī saffāk mehrāboñ ke nīche
Nazm
kasila zaiqa
vaqt kis dasht-e-farāmoshī meñ le aayā hai
ab tirā naam bhī ḳhākam-ba-dahan yaad nahīñ
Ghazal
hum bhi shair the kabhi jaan-e-suKHan yaad nahin
ġharq hote jahāz dekhe haiñ
sail-e-vaqt-e-ravāñ samajhtā huuñ
Ghazal
dhund hai ya dhuan samajhta hun
ik aisā vaqt bhī aatā hai chāñdnī shab meñ
mirā dimāġh mirā dil kahīñ nahīñ hotā
Qita
ek aisa waqt bhi aata hai chandni shab mein
kis muñh se kījiye lab-e-jān-baḳhsh kā bayāñ
chūsī jinhoñ ne ahmad muḳhtār kī zabāñ
Marsiya
aaj shabbir pe kya aalam-e-tanhai hai
ye re.āyā-e-hind tabah huī kahūñ kyā jo in pe jafā huī
jise dekhā hākim-e-vaqt ne kahā ye bhī qābil-e-dār hai
Ghazal
gai yak-ba-yak jo hawa palaT nahin dil ko mere qarar hai
vaqt kī ḳhāmushī hai mere saath
ek bastī basī hai mere saath
Ghazal
din bhi hai raat bhi hai mere sath
gharoñ se vo bhī sadā de to kaun niklegā
hai din kā vaqt abhī log kaam par ga.e haiñ
Ghazal
hamare jaise hi logon se shahr bhar gae hain
vaqt kāfir kī ḳhudā.ī hai gunahgār bahut
saarī ma.asūm namāzoñ ko qazā samjhegī
Ghazal
kab kisi gahre samundar ko hawa samjhegi
vaqt-e-dīdār ajab hukm huā
hosh khone kī ijāzat na rahī
Ghazal
sher kahne ki tabiat na rahi
vaqt kī dauḌ meñ ruknā thā kaThin
saañs lene kī bhī fursat na rahī
Ghazal
sher kahne ki tabiat na rahi
mere ġham ko jo apnā batāte rahe
vaqt paḌne pe hāthoñ se jaate rahe
Ghazal
mere gham ko jo apna batate rahe
vo soz-o-sāz-e-haqīqat se āshnā hogī
vo zindagī jo hama-vaqt imtihāñ meñ hai
Ghazal
wo bahr-o-bar mein nahin aur na aasman mein hai
vaqt ne ik nazar jo Daalī hai
phuul kī tāzgī churā lī hai
Ghazal
waqt ne ek nazar jo Dali hai

Top Urdushayar.com