Tags-Yaad

shauq-e-ruḳh yād-e-lab ġham-e-dīdār
jī meñ kyā kyā mire rahā sāhab
Ghazal
jo kaho tum so hai baja sahab
bhuul jaanā nahīñ ġhulām kā ḳhuub
yaad ḳhātir rahe mirā sāhab
Ghazal
jo kaho tum so hai baja sahab
yaad ke dā.ere kyuuñ phailte jaate haiñ 'shakeb'
us ne tālāb meñ kañkar abhī pheñkā hī nahīñ
Ghazal
gham-e-dil hita-e-tahrir mein aata hi nahin
sāvan kī purvā.ī ne kyā dukhtī choT dikhā.ī hai
kaise aañsū umDe haiñ jab yaad tumhārī aa.ī hai
Ghazal
sawan ki purwai ne kya dukhti choT dikhai hai
aañkh se ojhal ho kar dil ko apnī yaad dilā.ī hai
dil hī meñ aa baiThe ho ye aur qayāmat Dhaa.ī hai
Ghazal
sawan ki purwai ne kya dukhti choT dikhai hai
ab marnā bhī mushkil hai vo pūchh rahe haiñ bālīñ par
kis ne us ko yaad kiyā hai kaisī hichkī aa.ī hai
Ghazal
sawan ki purwai ne kya dukhti choT dikhai hai
tū nahīñ hai to mirī shaam akelī chup hai
yaad meñ dil kī ye vīrān havelī chup hai
Ghazal
tu nahin hai to meri sham akeli chup hai
haath se dil ro ke khonā yaad hai
apnī kashtī ko Dubonā yaad hai
Ghazal
hath se dil ro ke khona yaad hai
muñh chhupā kar mujh ko ronā yaad hai
vo ḳhajil har ik se honā yaad hai
Ghazal
hath se dil ro ke khona yaad hai
hijr meñ vo jaan khonā yaad hai
sub.h honā shaam honā yaad hai
Ghazal
hath se dil ro ke khona yaad hai
marte marte haath siine par rahe
dard kā tham tham ke honā yaad hai
Ghazal
hath se dil ro ke khona yaad hai
kyuuñ jahāñ meñ aa.e the samjhe na kuchh
un kā hañsnā apnā ronā yaad hai
Ghazal
hath se dil ro ke khona yaad hai
jāgnā apnā nahīñ bholā huuñ maiñ
aur saare ghar kā sonā yaad hai
Ghazal
hath se dil ro ke khona yaad hai
marte dam duniyā nihāyat tañg thī
qabr kā vo ek konā yaad hai
Ghazal
hath se dil ro ke khona yaad hai
kaun thā bālīñ pe mast-e-ḳhvāb-e-nāz
sham.a kā ruḳhsat vo honā yaad hai
Ghazal
hath se dil ro ke khona yaad hai
dil meñ paanī ne lagā dī aag aaj
vo hinā.ī haath dhonā yaad hai
Ghazal
hath se dil ro ke khona yaad hai
kab na thā 'jāved' aahoñ meñ asar
pher kar muñh un kā ronā yaad hai
Ghazal
hath se dil ro ke khona yaad hai
are yaad hī na rahā saas kī davā ḳhatm hone vaalī hai
aur kitchen kā kuchh sāmān bhī laanā hai
Nazm
KHud-kalami KHatun-e-KHana ki
mirā akelā ḳhudā yaad aa rahā hai mujhe
ye sochtā huā girjā bulā rahā hai mujhe
Sher
mera akela KHuda yaad aa raha hai mujhe
muñh chhupā kar āstīñ meñ der tak rote rahe
raat Dhaltī chāñdnī meñ us kī yaad aa.ī bahut
Ghazal
hai agarche shahr mein apni shanasai bahut

Top Urdushayar.com