Tags-Yaad

haa.e vo log jo dekhe bhī nahīñ
yaad aa.eñ to rulā dete haiñ
Ghazal
nind raaton ki uDa dete hain
kada kī yaad sab kuchh hai magar ai zāhid-e-nādāñ
diloñ se mastī-e-chashm-e-butāñ kuchh aur kahtī hai
Ghazal
dam-e-tamir taKHrib-e-jahan kuchh aur kahti hai
bas 'qalīl' un kī yaad baaqī hai
dushmanī jo nibhā chuke hoñge
Ghazal
jab wo jhagDe miTa chuke honge
chalte huoñ ko raah meñ kyā yaad aa gayā
kis kī talab meñ qāfile vaale Thahar ga.e
Ghazal
mauj-e-hawa se phulon ke chehre utar gae
yaad us kī itnī ḳhuub nahīñ 'mīr' baaz aa
nādān phir vo jī se bhulāyā na jā.egā
Sher
yaad uski itni KHub nahin mir baz aa
rakheñgī yaad husn kī ra.anā.iyāñ mujhe
vo gulistāñ meñ rañg nayā chhoḌ jā.ūñgā
Ghazal
tarikiyon mein apni ziya chhoD jaunga
hasrat-e-zohra-vashāñ sarv-qadāñ hai ki jo thī
apnā sarmāya-e-dil yād-e-butāñ hai ki jo thī
Ghazal
hasrat-e-zohra-washan sarw-qadan hai ki jo thi
yaad aatī hai bulbul pe jo bedād kī sūrat
ro detā huuñ maiñ dekh ke sayyād kī sūrat
Ghazal
dikhlae KHuda us sitam-ijad ki surat
jahāñ vo rahtā thā ab us kī yaad rahtī hai
makīñ baġhair bhī goyā makān zinda rahā
Ghazal
mera rafiq pas-e-jism-o-jaan zinda raha
Thahar sakī na agar chāñdnī to kyā ġham hai
yahī bahut hai ki tū yaad aa gayā mujh ko
Ghazal
tera hi rup nazar aae ja-ba-ja mujhko
gurez ke koī lamhe bhī aa ga.e hoñge
tumhārī yaad rahī ham-safar ziyāda-tar
Ghazal
tumhein pasand hai tanha safar ziyaada-tar
itne tanhā na the kabhī 'āsī'
yaad bhī un kī ab to saat nahīñ
Ghazal
dil ki dahliz suni suni hai
farq aa gayā thā daur-e-hayāt-o-mamāt meñ
aa.ī hai aaj yaad vo sūrat kahāñ kahāñ
Ghazal
aai hai kuchh na puchh qayamat kahan kahan
tumhārī yaad ke paikar meñ Dhalne lagte hai
nazar meñ jab bhī ubharte haiñ rañg mausam ke
Ghazal
faza mein jab bhi bikharte hain rang mausam ke
us kī rāhoñ meñ paḌā maiñ bhī huuñ kab se lekin
bhuul jaatā huuñ use yaad dilāne ke liye
Sher
uski rahon mein paDa main bhi hun kab se lekin
nok-e-mizhgāñ pe yaad kā aañsū
mausam-e-gul kī sard shabnam hai
Ghazal
aish hi aish hai na sab gham hai
dil-e-barbād ko ābād kiyā hai maiñ ne
aaj muddat meñ tumheñ yaad kiyā hai maiñ ne
Ghazal
dil-e-barbaad ko aabaad kiya hai maine
vo qaum ki naam is kā musalmān hai 'ḳhālid'
kyā yaad hai shart antum-ul-a.alaun kī us ko?
Ghazal
takid karo zamzama-sanjaan-e-chaman ko
yād-e-firāq-e-yār tirā shukriyā bahut
kal raat dil meñ dard hamāre uThā bahut
Ghazal
yaad-e-firaq-e-yar tera shukriya bahut
saf-kashī apnī dikhātā hai mujhe kyā ashrār
yaad hai us kī saf-ārā.ī-e-mizhgāñ mujh ko
Ghazal
but-parasti ne kiya aashiq-e-yazdan mujhko

Top Urdushayar.com